pavitra shastra sanvare zindagi
“sach to yah hai ki mere man mein bahot saval the”
janm: 1976
desh: honduras
ateet: church ka paastar
mera beeta kal
mera janm honduras ke la-ceiba shehar mein hua hai. main parivar ka iklauta ladka hoon, meri chaar behenein hain. parivar mein main hi hoon jo sun nahin sakta. hum jahaan rehte the vahaan ka maahaul bahot kharab tha aur hum gareeb bhi the. ek din kaam ki jagah par paapa ke saath ek durghatna hui jismein unki maut ho gayi. tab se ghar ke haalaat aur bigad gaye. us vakt main chaar saal ka tha.
paapa ke baad mammi ne hamara khayal rakhne ki poori koshish ki. lekin kabhi-kabhar mammi ke paas itne paise nahin hote the ki woh mujhe kapde dila sake. isliye baarish ke mausam mein mujhe aksar thand lagti thi kyonki mere paas garam kapde nahin hote the.
bachpan mein mainne honduras sign language seekhi. iski madad se main doosre badhir logon se baat kar paata tha. meri mammi aur behenon ko yah bhasha nahin aati thi, isliye woh kisi tarah koshish karke isharon mein mujhse baat karte the. mammi mujhse bahot pyar karti thi, woh mujhe har khatre se bachati thi. woh kisi tarah isharon se samjhati thi ki mujhe dhoomrapan aur sharab jaisi buri aadaton se door rehna chahiye. aaj tak kabhi mujhe in cheezon ki lat nahin lagi. is baat ke liye main mammi ka bahot ehsan maanta hoon.
jab main chhota tha, to mammi mujhe catholic church le jaati thi. church mein aisa koi nahin tha, jo mujhe saari baatein sign language mein sikhata, isliye mujhe kuch samajh nahin aata tha. main itna bore ho jaata tha ki jab main das saal ka hua, to mainne church jaana chhod diya. par main ishvar ke baar mein jaanna chahta tha.
san 1999 mein jab main 23 saal ka hua, to ek stri se mila. woh amreeka se thi aur protestant church jaati thi. usne mujhe bible se kuch baatein sikhayin aur american sign language bhi. bible se mainne jo bhi seekha, woh mujhe itna pasand aaya ki mainne soch liya ki main paastar banoonga. isliye paastar banne ke liye main puerto rico gaya, vahaan badhiron ke liye ek bible school tha. fir 2002 mein, main la-ceiba vaapas aaya aur mainne doston ki madad se badhiron ke liye ek church shuroo kiya. meri ek dost ka naam patricia tha. baad mein mainne usi se shaadi kar li.
church mein main honduras sign language mein bible par bhaashan deta tha. kabhi-kabhi badhir logon ko samjhane ke liye main bible ki kahaniyon ki tasveerein dikhata tha ya un kahaniyon ka naatak karke dikhata tha. main aas-paas ke shehron mein jaakar badhir logon se milta tha, unki himmat bandhata tha aur unki pareshaniyaan door karne ki koshish karta tha. bible sikhane ke liye main amreeka aur zambiya bhi gaya. lekin hakeekat mein, main bible ke baare mein zyada kuch nahin jaanta tha. main sirf vahi sikhata tha jo mujhe sikhaya gaya tha aur jo mujhe tasveeron se samajh aata tha. sach poochho to mere man mein bahot saval the.
ek din mujhe pata chala ki church ke kuch log mere baare mein jhooth faila rahe hain. unka kehna tha ki main piyakkad hoon aur mera kisi aur ke saath chakkar chal raha hai. yah sunkar mujhe bahot dukh hua aur gussa bhi aaya. kuch samay baad, mainne aur patricia ne church chhod diya.
pavitra shastra ne meri zindagi kis tarah badal di
yahova ke sakshi aksar hamare ghar aate the, par hamne pehle kabhi unki nahin suni. lekin church chhodne ke baad patricia ne sakshiyon ke saath bible padhna shuroo kar diya. use padhane ke liye thomas aur liccy naam ke pati-patni aate the. unki mujhe yah baat achhi lagi ki woh badhir nahin the, fir bhi unhonne sign language seekhi. isliye kuch samay baad, main bhi patricia ke saath bible adhyan mein baithne laga.
hamne american sign language ke video ki madad se kuch maheenon tak adhyan kiya. uske baad hamare kuch doston ne bataya ki yahova ke sakshi insanon ke peechhe chalte hain aur unke vichar sikhate hain. unki baaton mein aakar hamne padhna chhod diya. thomas ne mujhe saboot bhi dikhaye ki yahova ke sakshi insanon ko apna aguva nahin maante, lekin mainne uski baat par yakeen nahin kiya.
kuch maheene baad patricia depression mein chali gayi. usne ishvar se prarthna kee ki woh yahova ke sakshiyon ko uske paas dobara bheje. kuch hi samay baad, hamari ek padosin patricia se milne aayi. woh ek yahova ki sakshi hai. usne kaha ki woh liccy ko usse milne ke liye kahegi. liccy ne ek sachche dost ki tarah patricia ka khayal rakha. woh har hafte aakar uska hausla badhati thi aur uska bible adhyan karati thi. par main ab bhi sakshiyon par bharosa nahin kar paa raha tha.
san 2012 mein yahova ke sakshi ek khaas abhiyan mein honduras sign language mein ek dvd baant rahe the. video ka naam tha, kya aap sachchai jaanna chaheinge? liccy ne hamein bhi ek dvd di. jab mainne use dekha to main hairan reh gaya. usmein bataya tha ki narak aur amar aatma jaisi shikshayen bible ke mutabik sahi nahin hain. aur main ab tak yahi sab sikha raha tha.
agle hi hafte main thomas se baat karne ke liye yahova ke sakshiyon ke raaj-ghar gaya. mainne use bataya ki main bible se badhir logon ko sachchai sikhana chahta hoon par ek sakshi bankar nahin. main alag se badhir logon ke liye ek church kholna chahta hoon. dobara mujhmein yah josh dekhkar thomas ko khushi to hui par usne mujhe ifisiyon 4:5 padhaya jahaan bataya hai ki sachchi maseehi mandli mein ekta honi chahiye.
fir thomas mujhe american sign language mein ek video bhi diya. uska naam tha, jehovahs witnesses—faith in action, part 1: out of darkness. us video mein dikhaya gaya tha ki kuch aadmi bible ki shikshaon ke baare mein sachchai jaanna chahte the. iske liye unhonne bible ka gehrai se adhyan kiya. mujhe woh video bahot achha laga kyonki main bhi un aadmiyon ki tarah sachchai ki talash mein tha. us video ko dekhkar mujhe yakeen ho gaya ki sakshi sachchai sikhate hain, kyonki unki saari shikshayen bible se hoti hain. mainne dobara adhyan karna shuroo kiya aur 2014 mein mainne aur patricia ne baptisma liya aur hum sakshi ban gaye.
mujhe kya faayda hua
mujhe yahova ke sakshiyon ki yah baat achhi lagti hai ki woh naitik taur par shuddh rehte hain, kyonki woh ek pavitra parmeshvar ki upasna karte hain. woh gaali-galauj nahin karte aur doosron ke saath achha vyavhar karte hain. woh ek-doosre ke saath shaanti se rehte hain aur ek-doosre ki himmat bandhate hain. bhale hi woh kisi bhi desh mein rehte hon, koi bhi bhasha bolte hon, unmein ekta hai aur woh bible se ek-jaisi baatein sikhate hain.
mujhe bible ki sachchaiyaan seekhkar khushi hui kyonki mainne jaana ki yahova is poori dharti ka maalik hai, sarvashaktiman parmeshvar hai. use sabse pyar hai, unse bhi jo sun nahin sakte. main bahot ehsan maanta hoon ki parmeshvar mujhse itna pyar karta hai. mainne yah bhi jaana ki bahot jald yah dharti khoobsoorat ban jaayegi, hamari sehat achhi hogi aur hum hamesha tak ji paayenge. main us din ka besabri se intazar kar raha hoon!
mujhe aur patricia ko doosre badhir logon ko bible ki sachchaiyaan sikhana bahot achha lagta hai. hum apne purane church ke chaar logon ka bible adhyan kara rahe hain. aaj jab main logon ko sikhata hoon, to mere man mein koi saval nahin uthte jaise pehle uthte the. yahova ke sakshiyon ke saath adhyan karke mujhe mere saare savalon ke javab mil gaye.