prakashitvakya ki kitab—ismein di baaton ka kya matlab hai?
shastra se javab
bible ki aakhiri kitab prakashitvakya ka yoonani naam hai, a-po-ka-li-psis (apokalips), jiska matlab hai, “khulasa hona” ya “prakat karna.” is naam se pata chalta hai ki prakashitvakya kitab mein kya bataya gaya hai. ismein un baaton ka khulasa kiya gaya hai, jo pehle ek tarah se rehasya thi. ismein bhavishya mein honevali ghatnaon ke baare mein bhi bataya gaya hai, jinmein se kai bhavishyavaniyon ka poora hona baaki hai.
prakashitvakya kitab ki ek jhalak
parichay.—prakashitvakya 1:1-9.
saat mandliyon ko yeeshu ka sandesh.—prakashitvakya 1:10–3:22.
swarg mein parmeshvar ki raajgaddi ka ek darshan.—prakashitvakya 4:1-11.
ek-ke-baad-ek kai darshan; har darshan agle darshan ki or le jaata hai:
saat muharein.—prakashitvakya 5:1–8:6.
saat turhiyaan, jinmein se aakhiri teen turhiyaan aanevali teen museebaton ka ailan karti hain.—prakashitvakya 8:7–14:20.
saat katore, har ek mein ek kehar hai, jiska matlab hai ki dharti par parmeshvar ka nyay kehar ki tarah dhaaya jaayega.—prakashitvakya 15:1–16:21.
kuch darshan, jinmein parmeshvar ke dushmanon ka naash hua.—prakashitvakya 17:1–20:10.
kuch darshan, jinmein swarg aur dharti ko parmeshvar se aasheeshein milti hain.—prakashitvakya 20:11–22:5.
samapti.—prakashitvakya 22:6-21.
prakashitvakya kitab samajhne ke liye dhyan mein rakhnevali kuch baatein
jo parmeshvar ki seva karte hain, unke liye is kitab mein di gayi baaton ka matlab daravna ya khaufnak nahin, balki khushi ka sandesh hai. haalaanki bahot-se log shabd apokalips ko ek bade sankat se jodte hain, lekin prakashitvakya kitab ki shurooat mein aur aakhir mein kaha gaya hai ki jo ise padhte hain, samajhte hain aur ismein di baatein laagoo karte hain, woh sukhi honge.—prakashitvakya 1:3; 22:7.
is kitab mein bahot-si ‘nishaniyaan’ ya chinh diye gaye hain, jinke baare mein yah nahin maan lena chahiye ki sachmuch mein aisa hoga.—prakashitvakya 1:1.
is kitab ke bahot-se kirdaron ki pehchan aur nishaniyon ka matlab bible ki doosri kitabon mein pehle hi bataya gaya hai:
yahova—“sachcha parmeshvar” aur sabkuch bananevala.—vyavasthavivran 4:39; bhajan 103:19; prakashitvakya 4:11; 15:3.
yeeshu maseeh—“parmeshvar ka memna.”—yuhanna 1:29; prakashitvakya 5:6; 14:1.
shaitan ya iblees—parmeshvar ka virodhi.—utpatti 3:14, 15; yuhanna 8:44; prakashitvakya 12:9.
mahanagri baibilon—parmeshvar yahova aur uske logon ka ek dushman aur sabhi jhoothi dhaarmik shikshaon ka strot, theek jaise pracheen baibilon (baabel) shahar tha.—utpatti 11:2-9; yashayah 13:1, 11; prakashitvakya 17:4-6; 18:4, 20.
“samundar”—parmeshvar ka virodh karnevale dusht insan.—yashayah 57:20; prakashitvakya 13:1; 21:1.
is kitab mein batayi bahot-si cheezen us dere mein istemal honevali cheezon se milti-julti hain, jise pehle parmeshvar ki upasna ke liye istemal kiya jaata tha. jaise karar ka sandook, kaanch jaisa samundar (haath-pair dhone ke liye haud), deeye, dhoop ke chadhave aur balidan ke liye vedi.—nirgaman 25:10, 17, 18; 40:24-32; prakashitvakya 4:5, 6; 5:8; 8:3; 11:19.
jangli jaanvar—insani sarkaron ko darshate hain.—daaniyel 7:1-8, 17-26; prakashitvakya 13:2, 11; 17:3.
prakashitvakya mein istemal hui kai gintiyon (nambar) ke kuch khaas matlab hain.—prakashitvakya 1:20; 8:13; 13:18; 21:16.
saare darshanon mein batayi gayi baatein “prabhu ke din” ke dauran hoti hain. is din ki shurooat 1914 mein hui, tabhi parmeshvar ka raaj shuroo hua aur yeeshu raja ke taur par raaj karne laga. (prakashitvakya 1:10) iska matlab hai ki prakashitvakya mein batayi gayi baatein khaas taur par hamare dinon mein poori hongi.
prakashitvakya kitab samajhne ke liye hamein vahi baatein madad kareingi, jo bible ki baaki kitabein samajhne mein madad karti hain, jaise parmeshvar se milnevali buddhi aur woh log jo ise samajhte hain.—preshiton 8:26-39; yakub 1:5.