bible kisne likhi, kya yah jaanna mumkin hai?
shastra se javab
kai logon ka maanna hai ki hum yakeen ke saath nahin keh sakte ki bible kisne likhi. lekin bible mein kai baar saaf-saaf bataya gaya hai ki ismein di gayi baatein kisne likhi. iske kuch bhaagon ki shurooat mein yoon likha hai, “nahemayah ne likhin,” “yashayah ka darshan,” aur “yahova ka ye sandesh . . . yoel ke paas pahuncha.“—nahemayah 1:1; yashayah 1:1; yoel 1:1.
bible ke zyadatar lekhakon ne kaha ki unhonne ekmatra sachche parmeshvar, yahova ki taraf se likha aur woh uske hi maargdarshan ke mutabik likh rahe the. ibrani shastra likhnevale bhavishyavaktaon ne 300 se bhi zyada baar kaha: “yahova kehta hai.“ (aamos 1:3; mika 2:3; nahoom 1:12) kuch lekhakon ko swargdooton ke zariye parmeshvar ka sandesh mila.—jakaryah 1:7, 9.
bible ko kuch 40 logon ne kareeb 1,600 saalon ke dauran likha. kuch logon ne bible ki ek-se-zyada kitabein likhin. asal mein, bible 66 kitabon se milkar bani ek chhoti-si library jaisi hai. ismein ibrani shastra ki 39 kitabein hain, jise kaafi log purana niyam kehte hain, aur maseehi yoonani shastra ki 27 kitabein hain, jise aksar naya niyam kaha jaata hai.