is jaankari ko chhod dein

parivar ke liye madad

apne jeevan-saathi ko pyar kaise jatayen?

apne jeevan-saathi ko pyar kaise jatayen?

 shuroo-shuroo mein pati-patni ek-doosre ke liye khulkar pyar zahir karte hain. magar vakt ke guzarte kuch pati-patni pyar jatana kam kar dete hain ya bilkul band kar dete hain. agar aapke saath aisa ho raha hai, to aapko kya karna chahiye?

 aapko kya maaloom hona chahiye?

 shaadi ka bandhan mazboot rakhne ke liye pyar behad zaroori hai. jis tarah shareer ko mazboot aur swasth rakhne ke liye niyamit taur par khaana aur paani zaroori hota hai, usi tarah lagatar pyar milne se hi shaadi ka bandhan mazboot hota hai aur pati-patni khush rehte hain. shaadi ke saalon baad bhi ek vyakti chahta hai ki uska jeevan-saathi lagatar use pyar de aur uski parvah kare.

 sachcha pyar niswarth hota hai. jise apne jeevan-saathi se sachcha pyar hota hai, woh khud se zyada apne saathi ko khush rakhne ki koshish karta hai. woh aisa nahin karta ki jab man kare, sirf tabhi apne pyar ka izhar kare. use apne saathi ki parvah hoti hai aur woh yah samajhta hai ki uske saathi ko uska pyar chahiye aur use woh pyar deta bhi hai.

 aam taur par pati se zyada patni ki zaroorat hoti hai ki uska pati use pyar jataye. ho sakta hai ki ek pati apni patni se bahot pyar karta ho. lekin agar woh din ki shurooat aur aakhir mein hi ya yaun-sambandh banane se pehle hi pyar jataye, to shaayad patni ko yah yakeen karna mushkil lage ki woh vaakai uski parvah karta hai. is vajah se kitna achha hoga ki aap har din aksar apna pyar jatayen.

 aap kya kar sakte hain?

 apni baaton se pyar jataiye. agar aap itna bhi kahein, “main tumse bahot pyar karta hoon” ya “tumhin mera sabkuch ho,” to aapke jeevan-saathi ko bahot achha lagega.

 pavitra shastra se salah: “jo dil mein bhara hai vahi munh par aata hai.”​—matti 12:34.

 ise aazmaiye: aisa nahin ki aapko bolkar hi pyar jatana hai, aap likhkar bhi aisa kar sakte hain. aap chahe to koi card likhkar de sakte hain, e-mail ya message bhej sakte hain.

 apne kaamon se pyar jataiye. apne saathi ko gale lagaiye, pyar se choomiye ya uska haath thaamiye. aisa karne se aapke saathi ko yakeen hoga ki aap bolte hi nahin, balki dil se use pyar karte hain. jab aap pyar se apne saathi ko chhoote hain, use pyar-bhari nazron se dekhte hain ya kabhi-kabhi koi tohfa laakar dete hain, to usse bhi zahir hota hai ki aapko apne saathi ki parvah hai. iske alava, aap kuch alag-alag tareekon se apni patni ki madad karke bhi pyar zahir kar sakte hain. jaise, uske haath se saaman lekar, uske liye darvaza kholkar, bartan ya kapde dhokar ya fir khaana pakakar. kai log in kaamon ko sirf madad nahin samajhte, unhein inmein apne saathi ka pyar nazar aata hai!

 pavitra shastra se salah: “hamein sirf baaton ya zabaan se nahin balki apne kaamon se dikhana chahiye ki hum sachche dil se pyar karte hain.”​—1 yuhanna 3:18.

 ise aazmaiye: apne saathi se usi tarah pyar se pesh aaiye, jaise aap shaadi se pehle ki mulakaton ke dauran pesh aate the.

 ek-doosre ke liye vakt nikaliye. ek-doosre ke saath akele mein vakt bitane se aapki shaadi ka bandhan mazboot hoga aur aapka saathi mehsoos kar paayega ki aapko uske saath rehna achha lagta hai. maana ki agar aapke bachche hain ya har din aapko bahot-se kaam niptane hote hain, to shaayad ek-doosre ke liye samay nikaalna mushkil ho. aise mein zyada kuch nahin to kam-se-kam aap donon niyamit taur par thodi der tahalne ke liye jaa sakte hain.

 pavitra shastra se salah: ‘pehchano ki zyada ahmiyat rakhnevali baatein kya hain.’​—filippiyon 1:10.

 ise aazmaiye: vyast rehnevale kuch pati-patni pehle se tay karte hain ki woh falan shaam ya falan shanivar ya ravivar ko kahin ghoomne jaayenge, taaki kuch lamhein woh ek-doosre ke saath bita sakein. aisa woh niyamit taur par karte hain.

 apne saathi ko achhi tarah jaaniye. pyar paane ke maamle mein har vyakti ki zaroorat alag hoti hai. apne saathi se baat keejiye aur jaaniye ki woh kya chahta hai. kya use lagta hai ki aap use aur bhi pyar dein ya kuch alag tareekon se pyar jatayen? agar aisa hai, to apne saathi ki zaroorat poori karne mein koi kasar mat chhodiye. yaad rakhiye, shaadi ka bandhan mazboot karne ke liye pyar behad zaroori hai.

 pavitra shastra se salah: “pyar . . . sirf apne faayde ki nahin sochta.”​—1 kurinthiyon 13:4, 5.

 ise aazmaiye: pyar ki maang karne ke bajay khud se poochhiye, ‘main aisa kya kar sakta hoon, taaki mera saathi mujhse aur bhi pyar kare?’