is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

video games ka hum par kya asar hota hai?

video games ka hum par kya asar hota hai?

 saval-javab

amreeka mein video game bananevali kampaniyaan karodon dollar kama rahi hain. vahaan . . .

  1. video game khelnevalon ki ausatan umra kya hai?

    1. k. 18

    2. kh. 30

  2. video game khelnevalon mein kitne pratishat ladke hain aur kitni pratishat ladkiyaan?

    1. k. 55 pratishat ladke; 45 pratishat ladkiyaan

    2. kh. 15 pratishat ladke; 85 pratishat ladkiyaan

  3. inmein se kaun sabse zyada video game khelta hai?

    1. k. ladkiyaan jinki umra 18 aur usse zyada hai

    2. kh. ladke jinki umra 17 aur usse kam hai

javab (2013 ki jaankari par aadharit):

  1. kh. 30

  2. k. 45 pratishat ladkiyaan, yaani video game khelnevalon mein se lagbhag aadhe log.

  3. k. khelnevali ladkiyon mein se 31 pratishat aisi hain jinki umra 18 aur usse zyada hai, jabki ladkon mein se sirf 19 pratishat aise hain jinki umra 17 aur usse kam hai.

in aakdon se shaayad aap andaza laga sakte hain ki kaun video game zyada khelta hai. magar inse yah pata nahin lagta ki ise khelne se aap par kya asar ho sakta hai.

 faayde

video games ke baare mein inmein se kiski baat se aap sahmat hain?

  • “saath milkar is tarah ke games khelne se hum apne parivarvalon aur doston ke saath achha vakt bita paate hain.”—irene.

  • “hakeekat ki duniya se bachne ka yah ek achha tareeka hai.”—annette.

  • “inse aapki kaabileeyat badhti hai, aap bina vakt ganvaye kadam utha paate hain.”—christopher.

  • “samasyaon ko suljhane ki aapki kaabileeyat badhti hai.”—amy.

  • “aapke dimag ki achhi kasrat hoti hai. ye aapko sochne, yojna banane aur tarkeeb dhoondhne ke liye majboor karte hain.”—anthony.

  • “kuch kism ke game badhava dete hain ki hum doosron ke saath milkar kaam kar sakein.”—thomas.

  • “kuch games aise hain jinse aapki kasrat hoti hai aur aap sehatmand rehte hain.—jael.

kya aap inmein se kuch baaton se sahmat hain ya sabhi baaton se? video game ka hamare dimag aur shareer par achha asar ho sakta hai. kuch games aise hain jo sirf samay kaatne ke liye hote hain, jaisa enet ne kaha “hakeekat ki duniya se bachne ka yah ek achha tareeka hai.” is tarah ke games khelne mein koi burai nahin.

● bible kehti hai ki “aasman ke neeche harek kaam ka ek samay hota hai,” yahaan tak ki khel-kood aur manoranjan ka bhi.—sabhopdeshak 3:1-4.

 nuksan

kya video games khelne mein aapka saara samay chala jaata hai?

“main ek baar khelna shuroo kar doon to mujhe khud ko rokna bahot mushkil lagta hai. main baar-baar khud se kehti hoon, ‘bas thoda-saa aur!’ thoda karte-karte kai ghante beet jaate hain.”—annette.

“video games khelne mein aapka dher saara samay barbad ho sakta hai. ghanton khelne ke baad aapko lagta hai ki aapne kuch haasil kiya hai kyonki aapne paanch game jeet liye hain. lekin hakeekat yah hai ki aapne kuch haasil nahin kiya.”—serena.

sau baat ki ek baat: khoya hua paisa fir bhi vaapas aa sakta hai, lekin beeta hua vakt nahin! to ek tarah se vakt paison se bhi zyada anmol hai. isliye bekar ke kaamon mein vakt barbad mat keejiye!

● bible mein likha hai, ‘apne vakt ka sahi istemal karte huye buddhimani se’ kaam karo.—kulussiyon 4:5.

kya video games aapki soch bigaad rahe hain?

“jis apradh ke liye jail ya maut ki saza milti hai, vahi apradh hum video game khelte vakt bina soche-samjhe kar lete hain.”—seth.

“kuch games mein apni manzil tak pahunchne ke liye hamein dushmanon ko harana hota hai. fir chahe iske liye hamein berahmi se unhein maarna hi kyon na pade.”—annette.

“kai baar to aapko ehsas hi nahin hota ki aap apne hi dost ke liye keh rahe hain, ‘mar kyon nahin raha, mar jaa!’ ya ‘main tujhe maar daaloonga!’”—nathan.

sau baat ki ek baat: aise games mat kheliye jo maar-dhaad karne, naajayaz yaun-sambandh rakhne aur jaadoo-tona karne ka badhava dete hain kyonki parmeshvar in kaamon se nafrat karta hai.—galatiyon 5:19-21; ifisiyon 5:10; 1 yuhanna 2:15, 16.

● bible batati hai ki yahova sirf hinsa karnevalon se hi nahin balki “hinsa se pyar karnevalon se” bhi nafrat karta hai. (bhajan 11:5) isliye aap jis tarah ke games chunte hain shaayad unse yah na pata chale ki aap aage chalkar kis tarah ke insan baneinge, lekin unse yah zaroor pata chalega ki aap abhi kis tarah ke insan hain yaani aapko kis tarah ki cheezon se pyar hai.

zara sochiye: angrezee kitab shaant bane rahiye batati hai, “dekha gaya hai ki maar-dhaadvale video games, TV se zyada gehra asar karte hain kyonki inmein bachche heero ko khoon karte huye dekh hi nahin rahe hote, balki woh khud heero hote hain aur khoon kar rahe hote hain. jaise school mein teacher sikhate hain, vaise hi video games bhi sikhate hain. bas fark itna hai ki ye games bachchon ko maar-dhaad karna sikhate hain.”—yashayah 2:4 se tulna keejiye.

 asli duniya

bahot-se naujavanon ne video game khelne ki apni aadat par kaaboo paaya hai. aaiye iski do misalein dekhein.

“pehle main raat ko der-der tak video game khelta tha. main sochta tha, ‘hamein sirf paanch ghante ki nind hi to chahiye. chalo ek game aur khel leta hoon.’ magar ab main samajh gaya hoon ki mujhe kitni der video game khelna chahiye. ab main inhein kabhi-kabhar sirf shauk ke liye khelta hoon. har kaam had mein rehkar kiya jaaye tabhi achha lagta hai.”—Joseph.

“jab se mainne video game khelna kam kiya hai, tab se main bahot kuch kar paaya hoon! ab main prachar karne ka apna hunar badha paata hoon, mandli mein bhaai-behenon ki madad ki paata hoon, main piyano bajana bhi seekh raha hoon. ab mujhe samajh aaya ki asli duniya kaisi hoti hai!”—david.

● bible kehti hai ki samajhdar log “har baat mein sanyam” baratte hain. (1 timuthiyus 3:2, 11) unmein sanyam hota hai isliye woh samajh paate hain ki manoranjan ka maza kitni der lena sahi hai.—ifisiyon 5:10.

sau baat ki ek baat: video game khelne mein koi burai nahin hai, magar had mein rehkar khelne se hi aap iska maza le sakte hain. inhein khelne mein itna mat doob jaaiye ki zindagi ki zaroori baaton se aapka dhyan hi hat jaaye. game mein apni manzil tak pahunchne ke liye aap jitni mehnat karte hain agar utni mehnat aap asal zindagi mein apne lakshya paane mein karein, tab aap asli heero kehlayenge!