is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

main breakup ka dard kaise door kar sakta hoon?

main breakup ka dard kaise door kar sakta hoon?

steven kehta hai, “jab meri girlfriend se mera breakup hua to mujhe aisa laga maano meri poori duniya hi ujad gayi ho. mera dard bardasht se baahar tha.”

kya aapke saath aisa hua hai? agar haan, to is lekh se aapko madad mil sakti hai.

 dil par kya beetati hai?

jab ek ladka aur ek ladki ka breakup hota hai to dard donon ko hota hai.

  • agar breakup aapne kiya hai to aap jasmine ki bhaavnayen samajh sakte hain. usne kaha, “jab aap kisi ka dil todte hain to aapka zameer aapko baar-baar kosta hai. main fir kabhi isse guzarna nahin chahti.”

  • agar breakup aapke boyfriend ya girlfriend ne kiya hai to aap samajh sakte hain ki kyon kuch log kehte hain ki breakup ka dard aisa hai maano hamare kisi apne ki maut ho gayi ho. jainat kehti hai, “maatam mananevale jaisi bhaavnaon se guzarte hain vaisi hi bhaavnaon se main guzri hoon. main inkar karti rahi ki usne mujhe chhod diya hai, mainne gussa kiya, sulah karne ki bhi koshish ki aur fir main maayoos ho gayi. kareeb ek saal baad jaakar mainne maana ki haan, hamara rishta khatm ho chuka hai.”

sau baat ki ek baat: jab aapka breakup hota hai to aapki khushi khatm ho sakti hai aur aap maayoos ho sakte hain. bible ke ek lekhak ne kaha, “man ki udasi saari taakat choos leti hai.”—neetivachan 17:22.

 aap kya kar sakte hain?

  • kisi samajhdar vyakti se baat keejiye. bible batati hai, “sachcha dost har samay pyar karta hai aur museebat ki ghadi mein bhaai ban jaata hai.” (neetivachan 17:17) agar aap apni mammi ya apne paapa ya kisi samajhdar dost ko apne dil ki baat batayen, to aap maamle ko sahi nazriya se dekh paayenge.

    “main maheenon tak sab se door rahi. kisi ko nahin bataya ki mujh par kya beet rahi thi. magar aakhirkar mainne apne doston ko apne dil ka haal bataya. tab jaakar mujhe kaafi chain mila. sach, aapke dost gam se ubarne mein aapki madad kar sakte hain.”—janet.

  • jo hua usse seekhiye. bible mein ek aur neetivachan kehta hai, “buddhi haasil kar, samajh haasil kar.” (neetivachan 4:5) aise bure anubhav se hum khud ke baare mein bahot kuch seekh sakte hain aur yah bhi ki nirasha ka saamna kaise karein.

    “breakup ke baad mere ek dost ne mujhse poochha, ‘is rishte se tumne kya seekha? kya tumne kuch aisa seekha jiska tum aage kisi ladki ke saath dating karte vakt dhyan rakhoge?”—steven.

  • prarthna keejiye. bible batati hai, “apna saara bojh yahova par daal de, woh tujhe sambhalega.” (bhajan 55:22) prarthna karne se aapko apne gam se ubarne mein madad milegi. saath hi, aap is ghatna ko ek alag nazariye se dekh paayenge.

    “lagatar prarthna keejiye. yahova parmeshvar aapka dard samajhta hai aur aapke haalaat ko aapse behtar jaanta hai.”—marcia.

  • doosron ki madad keejiye. bible batati hai, “har ek sirf apne bhale ki fikra mein na rahe, balki doosre ke bhale ki bhi fikra kare.” (filippiyon 2:4) aap jitna zyada doosron ki madad kareinge utni jaldi aap breakup ke maamle ko alag nazar se dekh paayenge.

    “jab rishta toot jaata hai to aisa lagta hai maano duniya ka ant aa gaya ho. dil ko laga zakhm kisi chot se bhi gehra hota hai. magar yah zakhm bharta hai. bas vakt dene ki zaroorat hoti hai.”—evelyn.