yashayah 45:1-25

  • baibilon ko jeetne ke liye kusroo ka abhishek (1-8)

  • mitti kumhar se behas nahin kar sakti (9-13)

  • baaki raashtra israel ka aadar kareinge (14-17)

  • srishti aur bhavishyavaniyaan dikhati hain ki parmeshvar bharosemand hai (18-25)

    • prithvi ko basne ke liye racha (18)

45  yahova ne apne abhishikt jan kusroo+ ka daayaan haath thaama hai+ki raashtron ko uske adheen kare,+raajaon ki taakat tod de.*uske aage darvaze ke donon palle khol deki faatak band na kiye jaayen.vahi parmeshvar usse kehta hai,   “main tere aage-aage jaaunga+aur pahadiyon ko samtal karoonga. tambe ke faatkon ke tukde-tukde kar doongaaur unke lohe ke bedon ko kaat doonga.+   main tujhe andhere mein rakha khazana doonga,gupt jagahon mein chhipa khazana doonga+taaki tu jaan le ki main yahova hoon,main israel ka parmeshvar hoon jo tujhe tere naam se bulata hoon.+   mere sevak yakub aur mere chune huye israel ki khaatir,mainne tera naam lekar tujhe bulaya hai. tu mujhe nahin jaanta, fir bhi main tera naam mahan karoonga.   main yahova hoon, mere siva aur koi nahin,mujhe chhod koi parmeshvar nahin.+ tu mujhe nahin jaanta, fir bhi main tujhe shaktishali banaunga*   taaki poorab se lekar pashchim tak sab jaan leinki mere alava koi parmeshvar nahin.+ main yahova hoon, mere siva aur koi nahin.+   main hi raushni aur andhkar ka rachnevala hoon,+main hi shaanti denevala+ aur vipatti ka laanevala hoon,+main yahova hi yah sab karta hoon.   hey aakash, oopar se rimjhim baras,+baadlon se keh, woh neki ki boondein barsayen ki dharti jaag jaaye,usmein uddhaar aur neki ke beej fut padein+aur poori dharti par fail jaayen. main yahova hi yah sab karta hoon.”   dhikkar hai us par, jo apne bananevale se behas karta hai. woh hai hi kya? mitti ke bartan ka bas ek tukda,jo baaki tukdon ke saath feink diya gaya hai. kya mitti ka londa kumhar* se keh sakta hai, “yah kya bana diya toone?”+ ya kya tere haath ki banayi cheez tujhse keh sakti hai, “tere to haath hi nahin”?* 10  dhikkar hai us par, jo ek pita se kehta hai, “toone kise paida kar diya?” jo ek maa se kehta hai, “toone kise janm diya hai?”* 11  yahova jo israel ka pavitra parmeshvar+ aur uska rachnevala hai, kehta hai, “kya tu mujhse aanevali cheezon ke baare mein saval karega? apne beton+ aur apni kaareegari ke saath kya karna hai, yah tu mujhe batayega? 12  mainne prithvi banayi+ aur us par insan ko racha,+ apne haathon se aakash ko taana,+aakash ke saare taare* mera hukm maante hain.”+ 13  senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “apne nek maksad ko poora karne ke liye mainne ek aadmi ko udhaara hai,+main uski har raah ko seedha karoonga. vahi mere shehar ko banayega+ aur bandhuai mein pade mere logon ko aazad karega,+woh na to rishvat lega na koi keemat maangega.”+ 14  yahova kehta hai, “misra ka munafa,* ithiyopiya ka maal* aur sabai ke lambe-chaude log,tere paas aayenge aur tere ho jaayenge. woh bediyaan pehne tere peechhe-peechhe chaleinge,woh aakaar tere aage jhukeinge,+poori shraddha se kaheinge, ‘sachmuch, parmeshvar tere saath hai.+ uske siva koi parmeshvar nahin, koi bhi nahin.’” 15  hey israel ke parmeshvar, hey uske bachanevale,+vaakai, tu aisa parmeshvar hai jo khud ko chhipaye rakhta hai. 16  moorat bananevalon ko sharminda hona padega, unhein neecha dikhaya jaayega,woh sabhi beizzat hokar chale jaayenge.+ 17  par hey israel, yahova tujhe bachayega aur hamesha ke liye tera uddhaar karega,+ tujhe fir kabhi sharminda aur beizzat nahin hona padega.+ 18  sachcha parmeshvar yahova jisne aakash ki srishti ki,+prithvi ko racha, use banaya aur mazbooti se kaayam kiya,+jisne prithvi ko yoon hi* nahin banaya, balki basne ke liye racha hai,+ vahi parmeshvar kehta hai, “main yahova hoon, mere siva aur koi nahin. 19  mainne na to andhkar ke desh mein se na hi chhipi hui jagah mein se baat ki.+ mainne yakub ke vansh se yah nahin kaha,‘mujhe dhoondho par tumhari mehnat bekar jaayegi.’ main yahova hoon. main neki ki baatein kehta hoon aur seedhi-sachchi baaton ka ailan karta hoon.+ 20  hey raashtron se aazad huye logo, aao. ikatthe hokar aao.+ jo tarashi hui moorat liye firte hain, woh kuch nahin jaante,woh aise ishvar se prarthna karte hain jo unhein nahin bacha sakta.+ 21  apna mukadma pesh karo, apni safai do,aapas mein salah karo. kisne bahot pehale hi bata diya tha,guzre zamane mein hi ailan kar diya tha? kya mujh yahova ne nahin? mere siva aur koi parmeshvar nahin,mujh jaisa nek parmeshvar aur uddharkarta koi nahin.+ 22  hey prithvi ke kone-kone mein rehnevalo,mere paas laut aao, tab tum uddhaar paaoge,+kyonki main hi parmeshvar hoon, mere siva aur koi nahin.+ 23  main khud apni shapath khaakaar kehta hoon,mere munh se nikala vachan sachcha haiaur woh har haal mein poora hoga.+ har koi mere saamne ghutne tekega,apni zaban se vafa nibhane ki kasam khaayega+ 24  aur kahega, ‘vaakai, yahova neki ka parmeshvar hai, woh shaktishali hai,jo us par bhadak uthta hai, use sharminda hona padega. 25  israel ka poora vansh samajh jaayega ki yahova ki seva karke unhonne bilkul sahi kiya+aur woh uske baare mein garv se baat kareinge.’”

kai footnote

shaa., “kamar dheeli kare.”
shaa., “teri kamar kasoonga.”
ya “apne bananevale.”
ya shaayad, “ya kya mitti keh sakti hai, ‘teri banayi is cheez mein to hattha hi nahin’?”
ya “toone kis liye prasav-peeda sahi?”
shaa., “ki saari sena.”
ya shaayad, “ke mazdoor.”
ya shaayad, “ke vyapari.”
ya shaayad, “sunsan rehne ke liye.”