nyayiyon 6:1-40
6 israeli ek baar fir vahi karne lage, jo yahova ki nazar mein bura tha.+ isliye yahova ne unhein saat saal ke liye midyaniyon ke havale kar diya.+
2 midyani, israeliyon par ghor atyachar karne lage.+ unki vajah se israeliyon ne pahadon par, gufaon mein aur aisi jagahon par chhipne ki jagah* banayi jahaan dushman na pahunch sakein.+
3 jab israeli apne kheton mein beej bote to midyani, amaleki+ aur poorvi deshon ke log+ un par dhaava bol dete.
4 woh chhaavni daalte aur gaaza tak unke saare khet ujaad dete. woh israeliyon ke khaane ke liye kuch nahin chhodte, unki bhedon, bailon aur gadhon tak ko loot le jaate.+
5 jab midyani apne maveshiyon ke saath dera daalte, to aisa lagta maano anginat tiddiyaan maidan mein utar aayi hon.+ midyaniyon aur unke unton ka hisab lagana mushkil hota.+ woh aakaar israeliyon ka ilaka tahas-nahas kar dete.
6 unki vajah se israel mein ghor gareebi fail gayi aur israeli madad ke liye yahova ke aage gidgidane lage.+
7 jab israeliyon ne midyaniyon se pareshan hokar yahova ko pukara,+
8 to yahova ne apna ek bhavishyavakta bheja, jisne unse kaha, “israel ke parmeshvar yahova ka yah sandesh hai, ‘main tumhein gulami ke ghar, misra se nikaal laaya.+
9 mainne tumhein misriyon se aur jo bhi tum par zulm karte the, un sabke haath se bachaya aur tumhare dushmanon ko tumhare saamne se khadedkar unka desh tumhein diya.+
10 mainne kaha tha, “main tumhara parmeshvar yahova hoon,+ tum emoriyon ke devtaon ki upasna mat karna, jinke desh mein tum rehte ho.”+ lekin tumne meri baat nahin maani.’”+
11 iske baad, yahova ka ek swargdoot opra mein aaya+ aur jaakaar us bade ped ke neeche baith gaya jo abiejer vanshi+ yoash ka tha. yoash ka beta gidon+ angoor raundnevale haud mein gehoon ki baalein peetkar daane nikaal raha tha taaki unhein midyaniyon se chhipakar rakhe.
12 yahova ka swargdoot uske saamne aaya aur usne kaha, “hey veer yoddha! yahova tere saath hai.”+
13 gidon ne usse kaha, “maaf karna mere maalik, agar yahova hamare saath hai to hamara yah haal kyon hua?+ hamare baap-daada to uske adbhut kaamon ko yaad karte huye kehte the,+ ‘yahova ne hamein misra se chhudaya.’+ to ab woh hamare liye kyon kuch nahin karta? yahova ne hamein chhod diya hai,+ hamein midyaniyon ke havale kar diya hai!”
14 yahova ne uski taraf dekhkar kaha, “tu israel ko midyaniyon ke haath se chhudayega+ kyonki main tujhe bhej raha hoon. isliye himmat juta aur jaa.”
15 gidon ne usse kaha, “maaf karna yahova, magar main israel ko kaise chhuda sakta hoon? mera kul to manashshe ke gotra mein sabse chhota hai aur main apne pita ke poore gharane mein ek maamooli insan hoon.”
16 lekin yahova ne usse kaha, “main tere saath rahoonga+ aur tu midyaniyon ko aise maar girayega jaise koi akele aadmi ko maar girata hai.”
17 tab gidon ne usse kaha, “agar tu vaakai mujhse khush hai, to mujhe koi nishani dikha ki tu* hi mujhse baat kar raha hai.
18 jab tak main apni bheint lekar na aaun aur use tere saamne na rakhoon, tu yahaan se mat jaana.”+ usne kaha, “theek hai, tere aane tak main yahin rahoonga.”
19 gidon andar gaya aur usne bakri ka ek bachcha pakaya aur ek epa* aate se bin-khameer ki rotiyaan banayin.+ fir usne tokri mein gosht rakha aur haandi mein shorba liya aur baahar aakaar bade ped ke neeche parosa.
20 tab sachche parmeshvar ke swargdoot ne usse kaha, “yah gosht aur bin-khameer ki rotiyaan le jaakaar us badi chattan par rakh aur us par shorba undel de.” gidon ne aisa hi kiya.
21 fir yahova ke swargdoot ne apni chhadi us chattan ki taraf badhayi. jaise hi usne chhadi ki nok se gosht aur bin-khameer ki rotiyon ko chhua, chattan se aag nikli aur gosht aur rotiyaan bhasm ho gayin.+ yahova ka swargdoot gidon ke saamne se gaayab ho gaya.
22 gidon samajh gaya ki woh yahova ka swargdoot hi tha.+
gidon ne turant kaha, “hey saare jahan ke maalik yahova, mainne tere swargdoot ko aamne-saamne dekh liya!+ hey yahova, ab kya hoga?”
23 yahova ne usse kaha, “shaant ho jaa.* dar mat,+ tu nahin marega.”
24 iske baad gidon ne vahaan yahova ke liye ek vedi banayi. usne uska naam yahova-shaalom* rakha,+ jo aaj tak isi naam se jaani jaati hai. yah vedi aaj bhi opra mein abiejeriyon ke ilake mein hai.
25 usi raat yahova ne gidon se kaha, “apne pita ka bail le, woh bail* jo saat saal ka hai. aur baal ki jo vedi tere pita ki hai use gira de aur paas khadi pooja-laath* bhi kaat daal.+
26 iske baad tu us unchi jagah par, pattharon ko kataar mein rakhkar apne parmeshvar yahova ke liye ek vedi bana. aur us par bail* ko hom-bali karke chadha. jis pooja-laath ko tu kaatega, usi ki lakdiyon par yah hom-bali chadhana.”
27 tab gidon ne apne sevkon mein se das aadmi liye aur jaisa yahova ne kaha tha, vaisa hi kiya. lekin use apne pita ke gharane aur shehar ke logon ka dar tha, isliye usne yah kaam din mein nahin raat mein kiya.
28 agli subah jab shehar ke aadmi uthe to unhonne dekha ki baal ki vedi gira di gayi hai aur uske paas ki pooja-laath bhi kaat di gayi hai aur vahaan ek nayi vedi khadi hai jis par bail* arpit kiya gaya hai.
29 tab woh ek-doosre se poochhne lage, “yah kiska kaam hai?” poochhtachh karne par unhein pata chala ki yah yoash ke bete gidon ka kaam hai.
30 shehar ke aadmiyon ne yoash se kaha, “baahar laa apne bete ko. hum use zinda nahin chhodeinge! usne baal ki vedi todi hai aur vahaan khadi pooja-laath ko kaata hai.”
31 tab yoash+ ne us bheed se jo use ghere khadi thi kaha, “kya baal ko tumhari zaroorat hai ki tum uski vakaalat karo aur use bachao? kaan kholkar sun lo, jo bhi uski vakaalat karega woh aaj subah maar daala jaayega.+ agar baal sachmuch ishvar hai to woh khud ko bachakar dikhaye,+ aakhir uski vedi girayi gayi hai.”
32 us din yoash ne apne bete gidon ka naam yarubbal* rakha kyonki usne kaha, “baal khud ko bachakar dikhaye, aakhir uski vedi girayi gayi hai.”
33 fir sabhi midyani,+ amaleki+ aur poorvi deshon ke log ekjut ho gaye+ aur nadi paar kar yijrel ghaati mein aaye aur vahaan apna dera daala.
34 tab yahova ki pavitra shakti gidon par utri+ aur usne narsinga foonka.+ abiejeri log+ gidon ke peechhe-peechhe gaye.
35 gidon ne manashshe ke poore ilake mein apne doot bheje aur log uske peechhe ho liye. usne aasher, jabooloon aur naptali ke ilakon mein bhi apne doot bheje aur log uska saath dene aaye.
36 gidon ne sachche parmeshvar se kaha, “agar tu apne vaade ke mutabik israel ko mere haathon bachanevala hai,+
37 to main khalihan mein yah katra hua oon rakh raha hoon. agar oon par os padi magar iske aas-paas ki zameen sookhi rahi, to main jaan loonga ki tu mere haathon israel ko bachayega, theek jaisa toone vaada kiya hai.”
38 agle din vaisa hi hua. jab gidon subah-subah utha aur usne katra hua oon nichoda, to usmein se itna paani nikala ki ek bada katora bhar gaya.
39 fir gidon ne sachche parmeshvar se kaha, “hey parmeshvar, tera gussa mujh par na bhadke. tujhse ek aur binti hai. main ek baar fir parakhkar dekhna chahta hoon ki tu mere saath hai ya nahin. is baar aisa ho ki katra hua oon sookha rahe aur aas-paas ki zameen os se geeli ho jaaye.”
40 us raat parmeshvar ne theek vaisa hi kiya, oon bilkul sookha raha magar aas-paas ki zameen os se bheeg gayi.
kai footnote
^ ya shaayad, “anaj chhipane ki jagah.”
^ yaani parmeshvar.
^ kareeb 22 l. ati. kha14 dekhein.
^ shaa., “tujhe shaanti mile.”
^ matlab “yahova shaanti hai.”
^ shaa., “doosra bail.”
^ shaa., “doosre bail.”
^ shaa., “doosra bail.”
^ matlab “baal apna mukadma lade (ya apni pairvi kare).”