nyayiyon 1:1-36
1 yahoshoo ki maut ke baad,+ israeliyon ne yahova se poochha,+ “hammein se pehale kaun kanaaniyon se ladne jaayega?”
2 yahova ne kaha, “yahooda jaayega.+ dekho! main yah desh unke havale kar doonga.”*
3 tab yahooda ke gotra ne apne bhaai shimon ke gotra se kaha, “mere saath aa aur mujhe jo ilaka* diya gaya hai+ vahaan se kanaaniyon ko khadedne mein meri madad kar. fir main tere ilake mein chaloonga aur teri madad karoonga.” tab shimon ka gotra uske saath gaya.
4 yahooda ke logon ne jab yuddh kiya, to yahova ne kanaaniyon aur parijjiyon ko unke haath kar diya.+ aur unhonne bejek mein 10,000 aadmiyon ko hara diya.
5 kanaaniyon aur parijjiyon+ ko harate vakt+ bejek mein unka saamna adoni-bejek se hua aur woh usse lade.
6 tab adoni-bejek apni jaan bachakar bhaagne laga. yahooda ke logon ne uska peechha kiya aur use dhar-dabocha. unhonne uske haath-pair ke angoothe kaat diye.
7 tab adoni-bejek ne kaha, “mainne 70 raajaon ke haath-pair ke angoothe katvaye the aur woh meri mez se gire tukde khaate the. jaisa mainne doosron ke saath kiya, vaisa hi parmeshvar ne mere saath kiya hai.” iske baad woh use yarooshalem+ le aaye jahaan uski maut ho gayi.
8 fir yahooda ke aadmiyon ne yarooshalem se yuddh karke+ us par kabza kar liya. unhonne vahaan ke nivasiyon ko talvar se maar daala aur shehar ko jala diya.
9 iske baad unhonne pahadi pradesh, negeb aur shafelah mein rehnevale kanaaniyon se ladai ki.+
10 fir yahooda ka gotra un kanaaniyon se ladne gaya jo hebron mein rehte the (hebron ka naam pehale kiryat-arba tha). unhonne vahaan sheshai, aheeman aur talmai ko maar daala.+
11 iske baad woh dabir ke nivasiyon se ladne gaye.+ (dabir pehale kiryat-separ kehlata tha.)+
12 tab kaaleb+ ne kaha, “jo aadmi kiryat-separ par hamla karke use jeet lega, uski shaadi main apni beti aksa se karvaunga.”+
13 otniel+ ne kiryat-separ ko jeet liya. woh kaaleb ke chhote bhaai kanaj ka beta tha+ aur kaaleb ne apni beti aksa ki shaadi usse karva di.
14 jab aksa ghar jaa rahi thi to woh apne pati se baar-baar kehne lagi ki mere pita se zameen ka ek tukda maang. fir woh gadhe se utri* aur kaaleb ne usse poochha, “tu kya chahti hai?”
15 aksa ne kaha, “teri yah beti tujhse ek aasheervad chahti hai. mujhe gullot-maim* ka ilaka de de kyonki mujhe dakshin* mein zameen ka jo tukda mila hai woh sookha hai.” isliye kaaleb ne use oopri gullot aur nichla gullot diya.
16 moosa ka sasur+ ek keni aadmi tha, jiske vanshaj+ yahooda gotra ke saath khajoor ke pedon ke shehar+ se aaye the. woh araad+ ke dakshin mein yahooda ke veerane mein gaye aur vahaan ke logon ke beech rehne lage.+
17 yahooda ke gotra ne apne bhaai shimon ke gotra ke saath, sapat shehar ke kanaaniyon par hamla bola aur use poori tarah naash kar diya.+ isliye unhonne us shehar ka naam horma* rakha.+
18 fir yahooda ne gaaza+ aur uske ilake, ashkalon+ aur uske ilake aur ekron+ aur uske ilake par kabza kar liya.
19 yahova yahooda ke logon ke saath tha aur unhonne pahadi pradesh ko apne adhikar mein kar liya aur vahaan bas gaye. lekin woh maidani ilake mein rehnevale kanaaniyon ko nahin khaded paaye kyonki unke paas yuddh-rath the jinke pahiyon mein talvarein lagi hui thi.*+
20 moosa ke vaade ke mutabik yahooda ke logon ne kaaleb ko hebron diya.+ kaaleb ne vahaan se anak ke teen beton ko khaded diya.+
21 lekin binyameen gotra ne yarooshalem se yaboosiyon ko nahin khadeda. isliye aaj tak yaboosi, yarooshalem mein binyameen ke logon ke beech rehte hain.+
22 isi dauran yoosuf ka gharana+ betel shehar se ladne nikala aur yahova unke saath tha.+
23 yoosuf ke gharane ne betel (is shehar ka naam pehale looj tha)+ mein kuch jaasooson ko apne aage-aage bheja.
24 jaasooson ne us shehar se ek aadmi ko baahar jaate dekha aur usse kaha, “meharbani karke hamein shehar mein ghusne ka raasta dikha. badle mein hum tujh par kripa* kareinge.”
25 tab us aadmi ne unhein shehar mein ghusne ka raasta dikhaya aur unhonne shehar ke sabhi nivasiyon ko talvar se maar daala. lekin unhonne us aadmi aur uske parivar ko chhod diya.+
26 woh aadmi vahaan se hittiyon ke desh mein gaya aur usne apne liye ek shehar khada kiya. usne us shehar ka naam looj rakha jo aaj tak isi naam se jaana jaata hai.
27 manashshe gotra ne in shehron aur inke aas-paas ke nagron par kabza nahin kiya: bet-sha-aan, taanak,+ dor, yiblam aur magiddo.+ kanaani log in ilakon mein base rahe.
28 jab israeli taakatvar ho gaye to woh kanaaniyon se jabran mazdoori karvane lage.+ magar unhonne kanaaniyon ko poori tarah nahin khadeda.+
29 epraimiyon ne bhi un kanaaniyon ko nahin khadeda jo gejer mein rehte the. aur kanaani, epraimi logon ke beech gejer mein hi rahe.+
30 jabooloon gotra ne kitron aur nahlol+ mein rehnevale kanaaniyon ko nahin khadeda, woh unke beech hi rahe. aur jabooloon ne unse jabran mazdoori karvayi.+
31 aasher gotra ne akko, seedon,+ ahlab, akjeeb,+ helba, apeek+ aur rahob+ ke nivasiyon ko nahin khadeda.
32 aasher ke log kanaaniyon ke beech hi rahe kyonki unhonne kanaaniyon ko vahaan se nahin khadeda.
33 naptali gotra ne bhi bet-shemesh aur betnat+ mein rehnevale kanaaniyon ko nahin khadeda balki unke beech hi rahe.+ unhonne bet-shemesh aur betnat ke logon se jabran mazdoori karvayi.
34 emoriyon ne daan ke logon ko maidani ilake mein nahin aane diya. isliye unhein pahadi pradesh mein hi rehna pada.+
35 emori log heres pahad, ayyalon+ aur shaalbeem+ ke ilake ko nahin chhod rahe the. baad mein jab yoosuf ka gharana taakatvar bana, to unhonne emoriyon par jeet haasil karke unse kadi mazdoori karvayi.
36 emoriyon ke ilake ki sarhad akrabeem ki chadhai+ se aur sela se oopar ki taraf jaati thi.
kai footnote
^ ya “kar diya hai.”
^ shaa., “hissa.”
^ ya shaayad, “dhyan khinchne ke liye usne gadhe par baithe-baithe taali bajayi.”
^ matlab “paani ke kund.”
^ ya “negeb.”
^ matlab “naash ke liye thehrana.”
^ shaa., “lohe ke rath the.”
^ shaa., “atal pyar.”