nirgaman 3:1-22
3 moosa ek charvaha bana aur apne sasur, midyan ke yaajak yitro+ ki bhed-bakriyaan charane laga. ek din woh jaanvaron ke jhund ko veerane ke pashchim ki taraf le jaa raha tha aur chalte-chalte woh sachche parmeshvar ke pahad horeb+ ke paas pahuncha.
2 vahaan ek jalti hui kanteeli jhaadi mein lapton ke beech yahova ka ek swargdoot uske saamne prakat hua.+ jab moosa ne dekha ki kanteeli jhaadi mein aag lagi hai fir bhi jhaadi jal nahin rahi
3 to usne kaha, “yah kaisi ajab baat hai! main paas jaakaar dekhta hoon ki jhaadi kyon jal nahin rahi.”
4 jab yahova ne dekha ki moosa jhaadi ko dekhne ke liye paas aa raha hai to usne jhaadi mein se use pukara, “moosa! moosa!” tab usne kaha, “haan, prabhu!”
5 parmeshvar ne kaha, “ab aur nazdeek mat aa. tu apne paanvon ki jootiyaan utar de kyonki jis zameen par tu khada hai woh pavitra hai.”
6 fir usne kaha, “main tere purkhon ka parmeshvar hoon, abraham ka parmeshvar,+ ishaak ka parmeshvar+ aur yakub ka parmeshvar.”+ tab moosa ne apna chehra chhipa liya kyonki woh sachche parmeshvar ko dekhne se dar raha tha.
7 fir yahova ne usse kaha, “mainne beshak dekha hai ki misra mein mere log kitni dukh-takaleefein jhel rahe hain. mainne unka rona-bilakhna suna hai kyonki misra mein unse jabran mazdoori karvayi jaa rahi hai. main apne logon ka dukh achhi tarah samajh sakta hoon.+
8 isliye main neeche jaakaar unhein misriyon ke haath se chhudaunga+ aur unhein ek achhe aur bade desh mein le jaaunga, jahaan doodh aur shehad ki dhaarayen behti hain+ aur jahaan aaj kanaani, hitti, emori, parijji, hivvi aur yaboosi log rehte hain.+
9 dekh! israeliyon ki fariyad mujh tak pahunchi hai aur mainne dekha hai ki misri unhein kitni berehami se sata rahe hain.+
10 isliye main tujhe firaun ke paas bhej raha hoon aur tu mere israeli logon ko misra se baahar nikaal laayega.”+
11 magar moosa ne sachche parmeshvar se kaha, “main kaun hoon jo firaun ke saamne jaaun aur israeliyon ko misra se chhuda laaun?”
12 tab parmeshvar ne usse kaha, “main tere saath rahoonga.+ main tujhse ek vaada* karta hoon jiske poore hone par tujhe yakeen ho jaayega ki mainne hi tujhe bheja hai. mera vaada hai ki tu israel ko misra se nikaal laane mein zaroor kaamyab hoga aur vahaan se nikaalne ke baad tum log isi pahad par mujh sachche parmeshvar ki seva* karoge.”+
13 lekin moosa ne sachche parmeshvar se kaha, “agar main israeliyon ke paas jaakaar unse kahoon, ‘tumhare purkhon ke parmeshvar ne mujhe tumhare paas bheja hai’ aur woh mujhse poochhein, ‘us parmeshvar ka naam kya hai?’+ to main unse kya kahoon?”
14 parmeshvar ne moosa se kaha, “main woh ban jaaunga jo main banna chahta hoon.”*+ usne yah bhi kaha, “tu israeliyon se kehna, ‘“main woh ban jaaunga” ne mujhe bheja hai.’”+
15 iske baad parmeshvar ne ek baar fir moosa se kaha,
“tu israeliyon se kehna, ‘yahova jo tumhare purkhon ka parmeshvar hai, abraham ka parmeshvar,+ ishaak ka parmeshvar+ aur yakub ka parmeshvar hai,+ usi ne mujhe tumhare paas bheja hai.’ sada tak mera naam yahi rahega+ aur peedhi-peedhi tak mujhe isi naam se yaad kiya jaayega.
16 ab tu jaa aur israel ke mukhiyaon ko ikattha karke unse keh, ‘yahova jo tumhare purkhon ka parmeshvar hai, abraham, ishaak aur yakub ka parmeshvar hai, woh mere saamne prakat hua aur usne mujhse kaha hai, “mainne beshak tum logon ki haalaat par gaur kiya hai,+ mainne dekha hai ki misra mein tumhare saath kaisa salook kiya jaa raha hai.
17 isliye main tumse vaada karta hoon ki main tumhein misriyon ke atyachar se chhudaunga+ aur ek aise desh mein le jaaunga jahaan doodh aur shehad ki dhaarayen behti hain+ aur jahaan aaj kanaani, hitti, emori,+ parijji, hivvi aur yaboosi log rehte hain.”’+
18 woh zaroor teri baat maaneinge.+ fir tu israel ke mukhiyaon ke saath milkar misra ke raja ke paas jaana aur usse kehna, ‘ibriyon+ ke parmeshvar yahova ne hamse baat ki hai. isliye hum tujhse ijazat maangte hain ki hamein teen din ka safar tay karke veerane mein jaane de taaki hum apne parmeshvar yahova ke liye balidan chadha sakein.’+
19 magar main achhi tarah jaanta hoon ki misra ka raja tumhein tab tak jaane ki ijazat nahin dega jab tak ki mera shaktishali haath use majboor na kare.+
20 isliye mujhe misra ke khilaf apna haath badhakar kehar dhaana hoga aur tarah-tarah ke ajoobe karne honge, tab woh tumhein desh se bhej dega.+
21 jab tum log misra se nikloge to khaali haath nahin jaaoge. main misriyon ko tum par meharban kar doonga.+
22 har aurat ko chahiye ki woh apni padosin se aur apne ghar mein rehnevali aurat se sone-chaandi ki cheezen aur kapde maange. ye sab tum apne bete-betiyonn ko pehnaoge. tum misriyon ko loot loge.”+