nirgaman 27:1-21

  • hom-bali ki vedi (1-8)

  • aangan (9-19)

  • deevat ke liye tel (20, 21)

27  tu babool ki lakdi ki ek vedi banana.+ uski lambai paanch haath* aur chaudai paanch haath ho. vedi chaukor ho aur uski unchai teen haath ho.+  vedi ke chaaron konon par sing+ banana. ye sing vedi ka hi hissa hone chahiye. tu poori vedi ko tambe se madhna.+  tu vedi ki raakh* uthakar le jaane ke liye baaltiyaan banana. saath hi belche, katore, kaante aur aag uthane ke karchhe banana. vedi ki saari cheezen tu tambe se banana.+  tu vedi ke liye tambe ki ek jaali banana aur chaaron konon par tambe ke chaar kade banana.  is jaali ko vedi ke andar lagana. yah vedi ke kinare se thoda neeche yaani vedi ke beech mein lagi honi chahiye.  vedi ke liye babool ki lakdi se dande banana aur un par taamba madhna.  ye dande vedi ke donon taraf ke kadon ke andar daale jaayenge taaki unke sahare vedi uthayi jaaye.+  tu takhton ko jodkar ek peti ke aakaar mein yah vedi banana. yah oopar aur neeche, donon taraf khuli honi chahiye. vedi theek usi tarah banayi jaaye jaise tujhe pahad par iska namoona dikhaya gaya hai.+  tu pavitra dere ke liye ek aangan banana.+ aangan ke chaaron taraf bate huye badhiya malmal ki kanaton se ek ghera banana. dakshin mein kanaton ki kul lambai 100 haath hogi.+ 10  kanaton ko lagane ke liye 20 khambhe hone chahiye. ye khambhe tambe ki 20 khaanchedar chaukiyon par bithaye jaayenge. in khambhon ke ankade aur unke chhalle chaandi ke hone chahiye. 11  uttar ki kanaton ki kul lambai bhi 100 haath hogi. unhein lagane ke liye 20 khambhe honge jinhein tambe ki 20 khaanchedar chaukiyon par bithaya jaayega. in khambhon ke ankade aur unke chhalle bhi chaandi ke hone chahiye. 12  pashchim ki taraf aangan ki chaudai ke liye kanaton ki kul lambai 50 haath honi chahiye. kanaton ko lagane ke liye das khambhe hone chahiye aur ye khambhe das khaanchedar chaukiyon par bithaye jaayenge. 13  poorab ki taraf, jahaan sooraj ugta hai, aangan ki chaudai 50 haath ho. 14  vahaan aangan ke dvar ke daayin taraf ki kanatein 15 haath lambee hongi. unke liye teen khambhe aur teen khaanchedar chaukiyaan hongi.+ 15  aangan ke dvar ke baayin taraf ki kanatein bhi 15 haath lambee hongi. unke liye teen khambhe aur teen khaanchedar chaukiyaan hongi. 16  aangan ke dvar par 20 haath lamba ek parda hona chahiye. is parde ko neele dhaage, bainjni oon, surkh laal dhaage aur bate huye badhiya malmal se bunkar taiyar karna.+ yah parda lagane ke liye vahaan chaar khambhe hone chahiye aur inhein chaar khaanchedar chaukiyon par bithana chahiye.+ 17  aangan ke chaaron taraf sabhi khambhon mein chaandi ke jod aur chaandi ke ankade hone chahiye, magar unki khaanchedar chaukiyaan tambe ki honi chahiye.+ 18  aangan ki lambai 100 haath,+ chaudai 50 haath aur chaaron taraf kanaton ki unchai 5 haath honi chahiye. in kanaton ko bate huye badhiya malmal se banana. aangan ki khaanchedar chaukiyaan tambe ki honi chahiye. 19  pavitra dere mein seva ke liye istemal honevale sabhi bartan aur cheezen, saath hi dere ki khoontiyaan aur aangan ki saari khoontiyaan tambe ki honi chahiye.+ 20  israeliyon ko aagya dena ki pavitra dere mein deeyon ko hamesha jalaye rakhne ke liye woh shuddh jaitoon ka tel laakaar tujhe diya karein, jo kootkar nikaala gaya ho.+ 21  in deeyon ko, jo bheint ke tamboo mein gavahi ke sandook ke paasvale parde ke is taraf honge,+ haaroon aur uske bete yahova ke saamne shaam se subah tak jalaye rakhne ka intazam kareinge.+ israeliyon ko peedhi-dar-peedhi is niyam ka paalan karna hai, jo unhein sada ke liye diya jaa raha hai.+

kai footnote

ek haath 44.5 c.m. (17.5 inch) ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.
yaani balidan mein jalaye gaye jaanvaron ki pighli charbi se bheegi raakh.