nirgaman 10:1-29

  • aathvaan keher: tiddiyaan (1-20)

  • nauvaan keher: andhera (21-29)

10  tab yahova ne moosa se kaha, “tu firaun ke saamne jaa. dekh, firaun aur uske adhikariyon ke dil par koi asar nahin hua hai, woh ab bhi dheeth bane huye hain.+ aur mainne unhein dheeth hi rehne diya hai taaki main firaun ke saamne apne chinh dikha sakoon,+  aur tum apne beton aur poton ko yah daastan suna sako ki main misra par kaisi-kaisi museebatein laaya aur mainne kya-kya chinh dikhaye.+ isse tum beshak jaan jaaoge ki main yahova hoon.”  isliye moosa aur haaroon firaun ke paas gaye aur usse kehne lage, “ibriyon ka parmeshvar yahova tujhse kehta hai, ‘tu aur kab tak mere aage jhukne se inkar karta rahega?+ mere logon ko jaane de taaki woh meri seva karein.  agar tu mere logon ko bhejne se inkar karta rahega to main kal tere desh ke sabhi ilakon mein tiddiyon ka kehar laaunga.  unki taadad itni hogi ki zameen poori tarah dhak jaayegi, ek chappa bhi kahin nazar nahin aayega. aur olon ki maar se jo kuch bach gaya hai use tiddiyaan khaa jaayengi. maidan mein jitne bhi ped hain, unka ek-ek patta saaf kar jaayengi.+  tere aur tere sabhi adhikariyon ke ghar, aur sabhi misriyon ke ghar tiddiyon se bhar jaayenge. tere desh par tiddiyon ka itna bada dal toot padega jitna tere purkhon ke zamane se lekar aaj tak kisi ne kabhi na dekha hoga.’”+ itna kehne ke baad moosa firaun ke paas se chala gaya.  tab firaun ke adhikariyon ne usse kaha, “yah aadmi aur kab tak hum par museebatein laata rahega?* in logon ko jaane de taaki woh apne parmeshvar yahova ki seva karein. kya tu dekh nahin raha, poora-ka-poora misra barbad ho gaya hai?”  tab moosa aur haaroon ko firaun ke paas vaapas laaya gaya. firaun ne unse kaha, “tum log jaao apne parmeshvar yahova ki seva karne. magar yah batao tummein se kaun-kaun jaayega?”  moosa ne kaha, “hum yahova ke liye ek tyohar manane jaa rahe hain.+ isliye hamare sabhi log jaayenge, hamare bete-betiyaan, javan, buzurg, chhote-bade sab log. aur hum apni bhedon aur gaay-bailon ko bhi saath le jaayenge.”+ 10  firaun ne unse kaha, “agar mainne tumhein aur tumhare bachchon ko yahaan se jaane diya to iska matlab hoga ki yahova tumhare saath hai.+ lekin aisa kuch nahin honevala. main jaanta hoon ki tum logon ke irade sahi nahin hain. 11  nahin, main sabko nahin jaane doonga. sirf tumhare aadmi jaa sakte hain, woh hi jaakaar yahova ki seva karein, aakhir tumne isi ke liye to ijazat maangi thi.” iske baad moosa aur haaroon ko firaun ke yahaan se bhaga diya gaya. 12  ab yahova ne moosa se kaha, “tu apna haath misra par badha taaki poore desh par tiddiyaan chhaa jaayen aur un sabhi ped-paudhon aur faslon ko khaa jaayen jo olon ki maar se bach gayi hain.” 13  moosa ne fauran apni chhadi misra par badhayi aur yahova ne poorab se ek hava chalayi jo poore din aur poori raat us desh mein chalti rahi. subah hone par poorab ki hava ke saath tiddiyaan aane lagin. 14  unke jhund-ke-jhund poore misra par mandrane lage aur kone-kone mein chhaa gaye.+ tiddiyon ka yah kehar bada hi dukhaadayi tha.+ tiddiyon ka itna bada dal misra mein na isse pehale kabhi dekha gaya tha, na hi iske baad kabhi dekha jaayega. 15  desh ka chappa-chappa tiddiyon ke dal se itna bhar gaya ki chaaron taraf andhera-saa chhaa gaya. tiddiyaan un sabhi ped-paudhon aur falon ko chat kar gayin jo olon ki maar se bach gaye the. tiddiyon ne kahin ek patta ya ghaas ka ek tinka tak nahin chhoda. 16  yah dekhkar firaun ne moosa aur haaroon ko jald apne paas bulvaya aur unse kaha, “mainne tumhare aur tumhare parmeshvar yahova ke khilaf paap kiya hai. 17  bas is baar mera paap maaf kar do aur apne parmeshvar yahova se mere liye fariyad karo ki yah kehar mujhse door kar de.” 18  tab woh* firaun ke paas se chala gaya aur usne yahova se fariyad ki.+ 19  fir yahova ne hava ka rukh badal diya aur woh hava pashchim se behnevali tez hava bankar saari tiddiyon ko uda le gayi aur unhein laal saagar mein dubo diya. poore misra mein ek bhi tiddi nahin bachi. 20  magar is kehar ke baad bhi firaun ka dil kathor bana raha aur yahova ne use kathor hi rehne diya.+ firaun ne israeliyon ko nahin jaane diya. 21  ab yahova ne moosa se kaha, “apna haath aasman ki taraf badha taaki misra desh par andhera chhaa jaaye, aisa ghanghor andhera ki log use mehsoos kar sakein.” 22  moosa ne fauran apna haath aasman ki taraf badhaya aur teen din tak poore misra par ghup andhera chhaaya raha.+ 23  teen din tak log na to ek-doosre ko dekh paaye, na hi koi ghar se baahar kadam rakh saka. magar jahaan israeli rehte the vahaan ujala tha.+ 24  iske baad firaun ne moosa ko bulaya aur usse kaha, “tum yahova ki seva karne jaa sakte ho,+ apne bachchon ko bhi saath le jaa sakte ho. magar tum apni bhedon aur gaay-bailon ko nahin le jaaoge.” 25  lekin moosa ne kaha, “tu khud hamein balidanon aur hom-baliyon ke liye jaanvar dega* aur hum unhein apne parmeshvar yahova ke liye chadhayenge.+ 26  hum apne jaanvaron ko bhi saath le jaayenge, ek ko* bhi nahin chhod sakte kyonki hamein apne parmeshvar yahova ki upasna mein inmein se kuch jaanvaron ki bali chadhani hai. magar yahova ko theek kaun-se jaanvar chadhane hain, yah hamein tabhi pata chalega jab hum vahaan pahuncheinge.” 27  tab firaun ka dil aur kathor ho gaya aur yahova ne use kathor hi rehne diya. firaun israeliyon ko bhejne ke liye raazee nahin hua.+ 28  usne moosa se kaha, “door ho jaa meri nazron se! aur khabardar jo toone fir kabhi mere saamne aane ki jurrat ki. jis din tu mere saamne aayega, usi din mar jaayega.” 29  moosa ne kaha, “theek hai, main fir kabhi tere saamne nahin aaunga.”

kai footnote

shaa., “hamare liye fanda bana rahega?”
zahir hai ki yah moosa hai.
ya “le jaane dega.”
shaa., “ek khur.”