neetivachan 4:1-27
4 hey mere bete, apne pita ki shiksha par kaan laga,+us par dhyan de ki tujhe samajh mile.
2 main tujhe badhiya baatein sikhaunga,meri sikhayi baaton ko mat chhodna.+
3 main apne pita ka aagyakari beta tha,+apni maa ka dulara tha.+
4 mere pita ne yah kehkar mujhe sikhaya,
“meri baaton ko apne dil mein thaame rakh,+meri aagyaon ko maan, tab tu lambee umra jeeyega.+
5 buddhi haasil kar, samajh haasil kar,+
meri baaton ko bhool na jaana, unse munh mat ferna.
6 buddhi ko mat chhodna, woh teri hifazat karegi,
usse pyar karna, woh teri raksha karegi.
7 buddhi haasil kar kyonki yah sabse zaroori hai,+tu jo kuch haasil kare, uske saath samajh bhi haasil karna.+
8 buddhi ko anmol jaan, woh tujhe uncha uthayegi,+
use gale laga, woh tera maan badhayegi.+
9 woh tere sir par foolon ka taaj sajayegi,khoobsoorat taaj pehankar teri shobha badhayegi.”
10 hey mere bete, meri baatein sun aur unhein maan,tab tu bahot saal jeeyega.+
11 main tujhe buddhi ki raah par chalna sikhaunga,+seedhai ki dagar par le chaloonga.+
12 jab tu chalega to koi baadha tujhe nahin rokegi,jab tu daudega to tu thokar khaakaar nahin girega.
13 tujhe jo shiksha mile use pakde rehna, jaane mat dena,+
usi par teri zindagi tiki hai, use sambhaalkar rakhna.+
14 dushton ki raah mat pakadna,bure logon ke raaste par na jaana.+
15 usse door rehna, us taraf mat jaana,+apna munh fer lena aur aage badh jaana.+
16 kyonki dusht ko burai kare bina nind nahin aati,
jab tak woh kisi ko barbad na kar dein, woh chain se nahin sote.
17 woh dushtata ki roti khaate hain,hinsa se mili daakh-madira peete hain.
18 magar nek janon ki raah subah ki raushni jaisi hai,jiska tej, din chadhne ke saath-saath badhta jaata hai.+
19 dushton ki raah mein andhera-hi-andhera hai,woh nahin jaante ki unhein kisse thokar lagti hai.
20 hey mere bete, meri baaton par dhyan de,in par kaan laga.
21 inhein apni aankhon se ojhal mat hone de,inhein apne dil mein sanjoye rakh.+
22 jo inhein dhoondh leta hai use zindagi mil jaati hai+aur uska poora shareer bhala-changa rehta hai.
23 sab cheezon se badhkar apne dil ki hifazat kar,+kyonki jeevan ke sote isi se nikaalte hain.
24 apne munh se tedhi-medhi baatein na nikaal,+apni zaban par chhal-kapat ki baatein na laa.
25 apni aankhein saamne ki or lagaye rakh,haan, apni nazrein aage ki taraf tikaye rakh.+
26 apni raahon ko samtal kar,*+tab teri sab raahein kaamyab hongi.
27 tu na daayen mudna na baayen,+
burai ke raaste par kadam rakhne se door rehna.
kai footnote
^ ya shaayad, “par achhe-se gaur kar.”