bhajan 88:1-18
korah ke vanshajon ka sureela geet.+nirdeshak ke liye hidayat: yah geet baari-baari se mahlat ki shaili* mein gaaya jaaye. jerah ke vanshaj heman+ ka mashkeel.*
88 hey yahova, mere uddharkarta parmeshvar,+din ko main tujhe pukarta hoon,raat ko bhi main tere saamne aata hoon.+
2 meri prarthna tere paas pahunche,+meri madad ki pukar par kaan laga.*+
3 kyonki main peeda se bhara hua hoon,+main kabraa ki dehleez tak pahunch gaya hoon.+
4 mujhe abhi se unmein gina jaa raha hai jo jald hi gaddhe* mein jaanevale hain,+main bilkul laachar ho gaya hoon,*+
5 mujhe murdon ke beech chhod diya gaya hai,main unke jaisa ho gaya hoon jo ghaat hokar kabraa mein pade hain,jinhein ab tu yaad nahin karta,jin par ab tera saaya* nahin raha.
6 toone mujhe gehri khaai mein feink diya hai,us bade athah-kund mein, jahaan andhera hi andhera hai.
7 tere krodh ke bojh se main daba jaa raha hoon,+toone apni vinashakari lehron se mujhe gher liya hai. (sela )
8 toone mere jaan-pehchanvalon ko mujhse door bhaga diya hai,+mujhe unki nazar mein ghinauna bana diya hai.
main fans gaya hoon, nikaalne ka koi raasta nahin.
9 peeda se meri aankhein dhundhli pad gayi hain.+
hey yahova, main saara din tujhe pukarta rehta hoon,+haath failakar dua karta hoon.
10 kya tu mare huon ki khaatir karishme karega?
kya murde uthkar teri taareef kar sakte hain?+ (sela )
11 kya kabraa mein tere atal pyar kaaur vinash ki jagah* teri vafadari ka bakhan kiya jaayega?
12 kya tere aashcharya ke kaam, andhkar ki jagahya teri neki agyanta ki jagah jaani jaayegi?+
13 fir bhi hey yahova, main madad ke liye tujhe pukarta hoon,+har subah apni prarthna tere saamne rakhta hoon.+
14 hey yahova, tu kyon mujhe thukra deta hai?+
kyon mujhse apna munh fer leta hai?+
15 bachpan se hi main dukh jhelta aaya hoon, maut se joojhta raha hoon,+tu mujh par bhayanak vipattiyaan aane deta hai,unhein sehte-sehte main bejan ho gaya hoon.
16 tere krodh ki lapton ne mujhe gher liya hai.+tera khauf mujhe khaaye jaa raha hai.
17 tera khauf mujhe saara din samundar ki lehron ki tarah ghere rehta hai,chaaron taraf se* mujh par haavi ho jaata hai.
18 toone mere doston aur saathiyon ko mujhse bahot door bhaga diya hai,+ab andhera hi mera saathi hai.
kai footnote
^ ya “jhukkar meri madad ki pukar sun.”
^ ya “main aise aadmi ki tarah ban gaya hoon jismein taakat nahin hai.”
^ ya “kabraa.”
^ shaa., “haath.”
^ ya shaayad, “achanak.”