bhajan 85:1-13
korah ke vanshajon ka sureela geet.+ nirdeshak ke liye hidayat.
85 hey yahova, toone apne desh par kripa ki hai,+tu yakub ki santanon ko bandhuai se vaapas le aaya.+
2 toone apne logon ka gunah maaf kiya hai,unke saare paap maaf kar diye.*+ (sela )
3 toone apna krodh prakat karne se khud ko rok liya,apne gusse ki jaljalahat shaant kar di.+
4 hey parmeshvar, hamare uddharkarta, hamein bahaal kar de,*hamse naaraz hona chhod de.+
5 kya tu hamesha ke liye hum par bhadka rahega?+
kya tu peedhi-peedhi tak gussa karta rahega?
6 kya tu hammein dobara jaan nahin foonkegataaki tere log tere kaaran aanand manayen?+
7 hey yahova, hamein apne atal pyar ka saboot de,+hamara uddhaar kar.
8 sachcha parmeshvar yahova jo kehta hai, main sunoonga,kyonki woh apne logon se, apne vafadar janon se shaanti ki baatein karega,+magar aisa na ho ki woh pehale ki tarah khud par had-se-zyada bharosa karein.+
9 parmeshvar un logon ko bachane ke liye taiyar rehta hai jo uska dar maante hain+taaki hamare desh par uski mahima chhaayi rahe.
10 atal pyar aur vafadari ek-doosre se mileinge,neki aur shaanti ek-doosre ko choomeingi.+
11 dharti se vafadari ke ankur futeingeaur aasman se neki chamkegi.+
12 beshak, yahova hamein achhi cheezen* dega,+hamari zameen apni upaj degi.+
13 neki parmeshvar ke saamne chalegi,+uske kadmon ke liye raasta banayegi.