bhajan 42:1-11
korah+ ke vanshajon ka mashkeel.* nirdeshak ke liye hidayat.
42 jaise ek hiran paani ke liye tarasta hai,vaise hi hey parmeshvar, main tere liye tarasta hoon.
2 mera man parmeshvar ka, jeevit parmeshvar ka pyasa hai.+
jaane woh din kab aayega jab main parmeshvar ke saamne jaa paaunga.+
3 din-raat mere aansoo hi mera khaana hain,saara din log mujhe taane maarte hain: “kahaan gaya tera parmeshvar?”+
4 main ye sab yaad karta hoon, apne dil ki saari baatein batata hoon,*woh bhi kya din the jab main umadti bheed ke saath chalta tha,uske aage-aage poori gambheerta se* chalta hua parmeshvar ke bhavan ki taraf badhta tha,haan, woh bheed jo kadardani ke geet gaati hui,jayjaykar karti hui tyohar manati thi.+
5 mere man, tu kyon itna udas hai?+
tere andar yah toofan kyon macha hai?
parmeshvar ka intazar kar,+kyonki main uski taareef karta rahoongaki woh mera mahan uddharkarta hai.+
6 mere parmeshvar, mera man bahot udas hai.+
iseeliye main yardan ke ilake se,hermon ki chotiyon se,misar pahad* se tujhe yaad karta hoon.+
7 tere jharne ki zordar jharjhar pargehra saagar gehre saagar ko aavaz lagata hai.
main teri ufanti lehron mein doob gaya hoon.+
8 din mein yahova mujh par atal pyar zahir karega,raat ko uska geet mere honthon par hoga,main apne parmeshvar se prarthna karoonga jo mujhe jeevan deta hai.+
9 main parmeshvar se, apni badi chattan se kahoonga,“toone mujhe kyon bhula diya hai?+
dushman ke zulmon ki vajah se mujhe kyon saara vakt udas rehna padta hai?”+
10 dushman mere khoon ke pyase hain,* mujhe taana maarte hain,saara din mujhe taana maarte hain, “kahaan gaya tera parmeshvar?”+
11 mere man, tu kyon itna udas hai?
tere andar yah toofan kyon macha hai?
parmeshvar ka intazar kar,+kyonki main uski taareef karta rahoongaki woh mera mahan uddharkarta aur mera parmeshvar hai.+
kai footnote
^ shaa., “apni jaan undelta hoon.”
^ ya “dheere-dheere.”
^ ya “chhote pahad.”
^ ya shaayad, “maano meri haddiyaan choor-choor karte hon.”