bhajan 34:1-22

  • yahova apne sevkon ko bachata hai

    • “aao, hum milkar uske naam ki badai karein” (3)

    • uska swargdoot hifazat karta hai (7)

    • ‘parakhkar dekho, yahova bhala hai’ (8)

    • “uski ek bhi haddi nahin todi gayi” (20)

daavid ka yah geet us samay ka hai jab daavid ne abeemelek ke saamne paagal hone ka dhong kiya tha+ aur abeemelek ne use bhaga diya tha. א [aalef ] 34  main har samay yahova ki taareef karoonga,uski taareef ke bol hamesha mere honthon par honge. ב [beth ]   main yahova par garv karoonga,+deen log yah sunkar aanand manayenge. ג [gimel ]   mere saath milkar yahova ki mahima karo,+aao, hum milkar uske naam ki badai karein. ד [daalath ]   mainne yahova se salah maangi aur usne mujhe javab diya.+ usne mera saara dar door kar diya.+ ה [hey ]   us par aas laganevalon ka chehra damak utha,unhein kabhi sharminda nahin kiya jaa sakta. ז [jain ]   is dukhi insan ne yahova ko pukara aur usne suna. parmeshvar ne use saari museebaton se bachaya.+ ח [heth ]   jo yahova ka dar maante hain uska swargdoot unki hifazat karta hai*+aur unhein chhudata hai.+ ט [teth ]   parakhkar dekho ki yahova kitna bhala hai,+sukhi hai woh insan jo uski panah mein aata hai. י [yodh ]   yahova ke sab pavitra logo, uska dar maano,kyonki uska dar maannevalon ko koi kami nahin hoti.+ כ [kaaf ] 10  javan taakatvar sher bhi bhookh se aadhe ho gaye hain,magar yahova ki khoj karnevalon ko achhi cheez ki kami nahin hogi.+ ל [laamedh ] 11  aao mere beto, meri suno,main tumhein yahova ka dar maanna sikhaunga.+ מ [mem ] 12  tummein se kaun khushhal zindagi chahta hai? kaun lambee umra paana chahta hai?+ נ [noon ] 13  to fir apni jeebh ko burai karne se,+apne honthon ko chhal ki baatein kehne se roko.+ ס [saamekh ] 14  burai se door ho jaao aur bhale kaam karo,+shaanti kaayam karne ki khoj karo aur usmein lage raho.+ ע [aiyin ] 15  yahova ki aankhein nek logon par lagi rehti hain+aur uske kaan unki madad ki pukar sunte hain.+ פ [pe ] 16  magar yahova bure kaam karnevalon ke khilaf ho jaata haitaaki dharti se unki yaad poori tarah mita de.+ צ [saade ] 17  nek logon ne yahova ki duhai di aur usne suni,+usne unhein saari museebaton se chhudaya.+ ק [kof ] 18  yahova toote manvalon ke kareeb rehta hai,+woh unhein bachata hai jinka man kuchla hua hai.*+ ר [resh ] 19  nek jan par bahot-si vipattiyaan to aati hain,+magar yahova use un sabse chhudata hai.+ ש [sheen ] 20  woh uski saari haddiyon ki hifazat karta hai,uski ek bhi haddi nahin todi gayi.+ ת [taav ] 21  dusht par museebat maut le aayegi,nek janon se nafrat karnevale doshi thehraye jaayenge. 22  yahova apne sevkon ki jaan bachata hai,uski panah lenevala koi bhi doshi nahin thehrega.+

kai footnote

ya “unke chaaron taraf chhaavni daalta hai.”
ya “jo nirash hain.”