bhajan 22:1-31

  • nirasha se ubarkar taareef karna

    • “toone mujhe kyon chhod diya?” (1)

    • woh “mere kapde ke liye chitthiyaan daalte hain” (18)

    • mandli mein parmeshvar ki taareef (22, 25)

    • sab parmeshvar ki upasna kareinge (27)

daavid ka sureela geet. nirdeshak ke liye hidayat: “bhor ki hirni”* ke mutabik. 22  hey mere parmeshvar, mere parmeshvar, toone mujhe kyon chhod diya?+ tu kyon mujhe bachane nahin aata? kyon meri dard-bhari pukar nahin sunta?+   mere parmeshvar, main saara din tujhe pukarta hoon,raat-bhar karahta hoon, par tu koi javab nahin deta.+   magar tu pavitra hai,+israel ki taareefon se ghira hua hai.*   hamare purkhon ne tujh par bharosa rakha tha,+tujhi par bharosa rakha aur tu unhein chhudata raha.+   unhonne tujhe pukara aur toone unhein bachaya,unhonne tujh par bharosa kiya aur woh nirash nahin huye.*+   magar log mujhe neecha dekhte hain, tuchh samajhte hain,+main unki nazar mein insan nahin, keeda hoon.   mujhe dekhnevale sabhi mera mazak banate hain,+meri khilli udate hain, sir hilakar mujh par hanste+ aur kehte hain:   “isne khud ko yahova ke havale kar diya, vahi ise chhudaye! vahi ise bachaye, yah parmeshvar ko itna pyara jo hai!”+   toone hi mujhe maa ki kokh se baahar nikaala,+mujhe maa ki baahon mein suraksha ka ehsas dilaya. 10  mujhe paida hote hi dekhbhal ke liye tujhe saunpa gaya.jab main maa ki kokh mein tha, tabhi se tu mera parmeshvar hai. 11  mujh par sankat aanevala hai, tu mujhse door na reh,+mera aur koi madadgar nahin hai.+ 12  bahot-se bailon ne mujhe gher liya hai,+baashaan ke mote-tagde bailon ne mujhe gher liya hai.+ 13  dushman mujh par munh faade huye hain,+garajte sher ki tarah, jo apne shikar ki boti-boti kar deta hai.+ 14  mujhe paani ki tarah undel diya gaya hai,meri haddiyon ke jod khul gaye hain. mera dil mom ban gaya hai,+andar-hi-andar pighal gaya hai.+ 15  meri taakat theekre ki tarah sookh gayi hai,+meri jeebh taaloo se chipak gayi hai,+tu mujhe maarkar mitti mein mila deta hai.+ 16  dushmanon ne kutton ki tarah mujhe gher liya hai,+dushton ki toli mujhe dhar-dabochne par hai,+woh sher ki tarah mere haath-pair par jhapat pade hain.+ 17  main apni saari haddiyaan gin sakta hoon,+ woh mujhe taakte rehte hain, mujhe ghoorte hain. 18  woh meri poshak aapas mein baantte hain,mere kapde ke liye chitthiyaan daalte hain.+ 19  magar hey yahova, tu mujhse aur door na reh,+ tu meri taakat hai, meri madad ke liye jaldi aa.+ 20  mujhe talvar se bacha le,kutton ke panjon* se mere anmol jeevan* ki raksha kar.+ 21  mujhe sher ke munh se aur jangli bailon ke singon se bacha le,+mujhe javab de aur bacha le. 22  main apne bhaaiyon mein tere naam ka ailan karoonga,+mandli ke beech teri taareef karoonga.+ 23  yahova ka dar maannevalo, uski taareef karo! yakub ke vanshajo, uski mahima karo!+ israel ke vanshajo, uski shraddha karo. 24  kyonki usne zulm sehnevale ka dukh nazarandaz nahin kiya, usse ghin nahin ki,+parmeshvar ne usse apna munh nahin fera.+ jab usne madad ke liye use pukara to usne suna.+ 25  main badi mandli mein teri taareef karoonga,+tera dar maannevalon ke saamne apni mannatein poori karoonga. 26  deen log khaakaar santusht honge,+yahova ki khoj karnevale uski taareef kareinge.+ tu hamesha ki zindagi ka aanand leta rahe.* 27  dharti ka kona-kona yahova ko yaad karega, uski taraf mudega. raashtron ke sabhi parivar tere saamne jhukkar dandvat kareinge.+ 28  kyonki raaj karne ka adhikar yahova ka hai,+woh sab raashtron par raaj karta hai. 29  dharti ke sabhi rais* khaayenge-peeyenge aur use dandvat kareinge,woh sabhi jo mitti mein mil jaate hain uske aage ghutne tekeinge,unmein se koi apni jaan nahin bacha sakta. 30  unke vanshaj uski seva kareinge,aanevali peedhi ko yahova ke baare mein bataya jaayega. 31  woh aayenge aur uski neki ke baare mein batayenge. aanevali nasal ko uske kaamon ke baare mein batayenge.

kai footnote

shaayad yah koi dhun ya sangeet-shaili thi.
ya “taareefon ki raajgaddi ke beech (ya par) virajman hai.”
ya “unhein sharminda nahin kiya gaya.”
shaa., “haath.”
shaa., “mere akele.” yahaan uske jeevan ki baat ki gayi hai.
shaa., “tera dil sada jeeye.”
shaa., “mote log.”