kurinthiyon ke naam doosri chitthi 2:1-17

  • paulus khushi dena chahta hai (1-4)

  • paapi maaf kiya gaya, bahaal kiya gaya (5-11)

  • paulus troas aur makiduniya mein (12, 13)

  • hamari seva jeet ka juloos hai (14-17)

    • parmeshvar ke vachan ke saudagar nahin (17)

2  mainne thaan liya hai ki jab main dobara tumhare paas aaun to tumhein udas na karoon.  isliye ki agar main tumhein udas kar doon to mujhe kaun khush karega, siva uske jise mainne udas kiya hai?  mainne tumhein yah sab isliye likha hai ki jab main aaun to jin logon se mujhe khushi milni chahiye unki vajah se main udas na ho jaaun, kyonki mujhe bharosa hai ki jin baaton se mujhe khushi milti hai unhin baaton se tumhein bhi khushi milti hai.  mainne badi takaleef aur dil ki tadap ke saath aansoo baha-bahakar tumhein likha tha, isliye nahin ki tum udas ho jaao+ balki isliye ki tum jaano ki mera pyar tumhare liye kitna gehra hai.  ab agar kisi ne udas kiya hai,+ to usne mujhe nahin balki tum sabko kuch had tak udas kiya hai. main bahot kade shabdon mein nahin kehna chahta.  us aadmi ko zyadatar logon ne jo fatkaar lagayi hai woh kaafi hai.  ab tumhein us par kripa karke use maaf karna chahiye aur use dilasa dena chahiye,+ kahin aisa na ho ki woh had-se-zyada udasi mein doob jaaye.+  isliye main tumhein badhava deta hoon ki tum us aadmi ko apne pyar ka yakeen dilao.+  main tumhein yah chitthi isliye bhi likh raha hoon taaki mujhe pata chale ki tum sab baaton mein aagya maante ho ya nahin. 10  tum jis kisi ko maaf karte ho, use main bhi maaf karta hoon. darasal mainne jis kisi ko maaf kiya hai (agar mainne koi apradh maaf kiya hai), woh mainne maseeh ke saamne tumhari khaatir kiya hai 11  taaki shaitan hum par haavi na ho jaaye*+ kyonki hum uski chaalbaziyon* se anjan nahin.+ 12  jab main maseeh ke baare mein khushkhabri sunane troas pahuncha+ aur prabhu ki seva mein mere liye mauke ka ek darvaza khola gaya, 13  to mere bhaai titus+ ko vahaan na paane ki vajah se mera ji bechain ho gaya. tab mainne vahaan chelon se alvida kaha aur main makiduniya+ ke liye ravana ho gaya. 14  magar parmeshvar ka dhanyavad ho jo hamesha hamare aage-aage chalta hua hamein jeet ke juloos mein maseeh ke sang liye chalta hai aur hamare zariye apne gyaan ki khushboo har jagah failata hai!* 15  isliye ki parmeshvar ke saamne hum uddhaar paanevalon aur naash honevalon ke liye maseeh ke baare mein samachar ki khushboo hain, 16  yaani naash honevalon ke liye woh gandh* hain jo maut ki taraf le jaati hai+ aur uddhaar paanevalon ke liye aisi khushboo hain jo jeevan ki taraf le jaati hai. aur kaun hai jo is seva ke liye zaroori yogyata rakhta hai? 17  hum yogyata rakhte hain kyonki hum parmeshvar ke vachan ka sauda karnevale* nahin,+ jaisa kai log karte hain. iske bajay parmeshvar ki taraf se bheje huon ke naate hum seedhai se bolte hain, haan, parmeshvar ko haazir jaankar maseeh ke sang bolte hain.

kai footnote

ya “iradon; saazishon.”
ya “hamein chakma na de.”
ya “par dhyan khinchta hai.”
ya “khushboo.”
ya “vyapar karnevale; se munafa kamanevale.”