pehala shamooel 9:1-27
-
shamooel, shaaool se mila (1-27)
9 binyameen gotra mein keesh+ naam ka ek aadmi tha jo abiel ka beta tha. abiel saror ka beta tha, saror bakorat ka aur bakorat apeeh ka beta tha. binyameen gotra ka yah aadmi+ keesh bahot ameer tha.
2 uska ek javan beta tha shaaool.+ shaaool bada hi sundar aur sajeela tha, uske jaisa poore israel mein koi nahin tha. woh itna lamba tha ki sab log uske kandhe tak hi aate the.
3 ek baar jab keesh ki gadhiyaan gum ho gayin to usne apne bete shaaool se kaha, “beta, tu apne saath ek sevak lekar jaa aur gadhiyon ko dhoondh laa.”
4 woh epraim ke pahadi pradesh mein gaye aur vahaan dhoondhne lage. iske baad woh shaaleesha ke ilake mein gaye, magar unhein gadhiyaan kahin nahin milin. fir woh aage shaaleem ke ilake mein gaye, magar vahaan bhi nahin milin. unhonne binyameen ka poora ilaka chhaan maara, magar jaanvar kahin bhi dikhayi nahin diye.
5 fir woh zoof ke ilake mein aaye aur vahaan shaaool ne apne sevak se kaha, “chal hum vaapas chalte hain, varna mera pita jaanvaron ki chinta chhodkar hamari chinta karne lagega.”+
6 magar sevak ne usse kaha, “sun, is shehar mein sachche parmeshvar ka ek sevak rehta hai jiska log bahot samman karte hain. woh jo kuch kehta hai sach saabit hota hai.+ chalo, hum uske paas chalte hain, ho sakta hai woh hamein bata de ki hum kis raaste jaayen.”
7 tab shaaool ne apne sevak se kaha, “agar hum sachche parmeshvar ke us sevak ke paas jaayenge, to hum use tohfe mein kya deinge? hamare paas use dene ke liye kuch bhi nahin hai. hamare thailon mein ek roti tak nahin rahi. bata hum kya karein?”
8 sevak ne shaaool se kaha, “dekh, mere paas chaandi ka ek chhota-saa tukda* hai. yah main sachche parmeshvar ke sevak ko doonga aur woh hamein batayega ki hamein kis raaste jaana hai.”
9 (purane samay mein israel mein jab kisi ko parmeshvar ki marzee jaanni hoti to woh kehta, “chalo, hum darshi ke paas chalte hain.”+ aaj jinhein bhavishyavakta kaha jaata hai, woh pehale darshi kehlate the.)
10 tab shaaool ne apne sevak se kaha, “theek hai, chalte hain.” woh donon us shehar mein gaye jahaan sachche parmeshvar ka sevak rehta tha.
11 jab woh oopar shehar jaa rahe the to raaste mein unhein kuch ladkiyaan milin jo paani bharne jaa rahi thi. unhonne ladkiyon se poochha, “kya darshi yahin hai?”+
12 ladkiyon ne kaha, “haan, woh yahin hai. woh abhi-abhi yahaan se gaya hai. aaj hi woh shehar aaya hai aur aaj log upasna ki unchi jagah+ par balidan chadhanevale hain.+ jaldi jaao,
13 jaise hi tum shehar pahunchoge tumhein woh mil jaayega. jaldi jaao, varna woh unchi jagah par bhoj karne chala jaayega. kyonki jab tak woh jaakaar balidan par aasheesh nahin maangega, tab tak log khaa nahin sakte. jab woh dua kar lega tab nyaute mein bulaye gaye log bhoj kareinge. isliye tum fauran jaao taaki tum usse shehar mein mil sako.”
14 tab woh oopar shehar ki taraf gaye. jab woh shehar mein ghus rahe the to shamooel unse milne aa raha tha taaki woh unhein apne saath unchi jagah le jaaye.
15 shaaool ke yahaan aane se ek din pehale yahova ne shamooel ko yah bataya tha,
16 “kal isi samay main binyameen ke ilake ke rehnevale ek aadmi ko tere paas bhejoonga.+ tu uska abhishek karke use meri praja israel ka aguva thehrana.+ woh mere logon ko palishtiyon ke haath se bachayega. mainne dekha hai ki mere log kaisi dukh-takaleefein jhel rahe hain aur mainne unka rona-bilakhna suna hai.”+
17 jab shamooel ne shaaool ko dekha to yahova ne shamooel se kaha, “dekh, yahi woh aadmi hai jiske baare mein mainne tujhse kaha tha ki woh mere logon par raaj karega.”*+
18 tab shaaool shehar ke faatak par shamooel ke paas gaya aur usne poochha, “kya tu mujhe bata sakta hai ki darshi ka ghar kahaan hai?”
19 shamooel ne kaha, “main hi darshi hoon. tu mere aage-aage unchi jagah tak chal. aaj vahaan tum donon mere saath bhoj karoge.+ aur tu jo bhi jaanna chahta hai, woh sab* main tujhe bataunga aur kal subah tujhe bhej doonga.
20 rahi baat tere jaanvaron ki jo teen din pehale kho gaye the,+ unki tu fikra mat kar kyonki woh mil gaye hain. aur fir israel mein jitni manbhavni cheezen hain, woh sab kiski hain? kya woh teri aur tere pita ke gharane ki nahin?”+
21 tab shaaool ne kaha, “yah tu kya keh raha hai? main to israel ke sabse chhote gotra binyameen se hoon+ aur mere kul ki to binyameen ke kulon mein koi ginti hi nahin.”
22 fir shamooel, shaaool aur uske sevak ko bhojan ke kamre mein laaya, jahaan kareeb 30 aadmi baithe the. usne shaaool aur uske sevak ko sabse khaas jagah par bithaya.
23 shamooel ne rasoiye se kaha, “gosht ka woh hissa le aa jo mainne tujhe diya tha aur alag rakhne ke liye kaha tha.”
24 tab rasoiya gaya aur balidan ke gosht mein se paaya uthakar laaya aur use shaaool ke saamne parosa. shamooel ne shaaool se kaha, “tere saamne jo parosa gaya hai woh tere liye hi rakha gaya tha. ise khaa kyonki unhonne yah hissa is mauke par khaas tere liye rakha tha. mainne unhein bataya tha ki mainne kuch mehman bulaye hain.” tab shaaool ne shamooel ke saath baithkar khaaya.
25 fir woh unchi jagah+ se neeche shehar gaye. ghar pahunchne par shamooel shaaool se ghar ki chhat par baatein karta raha.
26 agle din woh subah tadke uthe. chhat par shamooel ne shaaool ko aavaz dekar kaha, “taiyar ho jaa taaki main tujhe vida karoon.” shaaool taiyar ho gaya aur woh donon baahar chale gaye.
27 jab woh shehar se neeche jaa rahe the to shamooel ne shaaool se kaha, “apne sevak+ se keh ki woh aage chalta rahe. magar tu yahin khada reh. main tujhe bataunga ki parmeshvar ne tere liye kya sandesh diya hai.” tab woh sevak aage nikaal gaya.