kurinthiyon ke naam pehali chitthi 9:1-27
9 kya main aazad nahin ki jo chahe woh karoon? kya main ek preshit nahin? kya mainne hamare prabhu yeeshu ko nahin dekha?+ kya tum prabhu mein meri mehnat ka fal nahin ho?
2 chahe main doosron ke liye preshit na sahi, fir bhi tumhare liye beshak hoon! isliye ki tum woh muhar ho jo prabhu mein mere preshit-pad ka saboot deti hai.
3 jo meri jaanch-padtal karte hain, unke saamne meri safai yah hai:
4 kya hamein khaane-peene ka hak* nahin?
5 kya hamein yah hak nahin ki hum shaadi karein aur apni vishvasi patni ko* apne saath-saath le jaayen,+ jaisa ki baaki preshit, prabhu ke bhaai+ aur kaifa*+ bhi karte hain?
6 ya kya sirf baranbas+ aur mujhe hi apne guzare ke liye kaam karne ka hak nahin mila?
7 aisa kaun-saa sainik hai jo apna kharch khud uthata hai? kaun hai jo angooron ka baag lagakar bhi uska fal nahin khaata?+ ya aisa kaun-saa charvaha hai jo jhund ki dekhbhal to karta hai magar uske doodh mein se kuch hissa nahin leta?
8 kya main ye baatein sirf insani nazariye se kah raha hoon? kya kaanoon bhi yahi baatein nahin kehta?
9 isliye ki moosa ke kaanoon mein likha hai, “tum anaj ki danvri karte bail ka munh na baandhna.”+ kya parmeshvar sirf bailon ki parvah karta hai?
10 kya usne yah baat asal mein hamare liye nahin kahi? sach to yah hai ki yah baat hamari khaatir likhi gayi thi, kyonki jo aadmi hal chalata hai uska anaj paane ki aasha rakhna galat nahin hai aur jo aadmi anaj daanvta hai uska anaj mein se hissa paane ki aasha rakhna galat nahin hai.
11 hamne tumhare beech parmeshvar ki baatein boyi hain, to kya badle mein tumse khaane-pehanne ki cheezon ki fasal paana galat hoga?+
12 agar doosre tum par yah hak jata sakte hain, to kya hamara aur bhi zyada hak nahin banta? fir bhi, hamne apna hak* nahin jataya.+ magar hum sabkuch sah rahe hain taaki hamari vajah se maseeh ki khushkhabri failne mein koi rukavat na aaye.+
13 kya tum nahin jaante ki jo aadmi mandir mein pavitra seva se jude kaam karte hain, woh mandir se mili cheezen khaate hain? aur jo vedi ke paas seva mein lage rehte hain woh vedi ke saath balidan ka hissa paate hain?+
14 usi tarah, prabhu ne khushkhabri sunanevalon ke liye bhi yah aagya di ki khushkhabri se unka guzar-basar ho.+
15 magar mainne inmein se ek bhi intazam ka faayda nahin uthaya.+ darasal, mainne ye baatein isliye nahin likhin ki mere liye yah sab kiya jaaye, kyonki isse to achha hoga ki main mar jaaun. mere paas shekhi maarne ki yah jo vajah hai, ise main kisi bhi insan ko chheenne nahin doonga.+
16 ab agar main khushkhabri sunata hoon, to yah mere liye shekhi maarne ki koi vajah nahin kyonki aisa karna to mera farz hai. dhikkar hai mujh par agar main khushkhabri na sunaun!+
17 agar main yah kaam apni marzee se karta hoon, to mujhe inam milega. aur agar main yah kaam na chahte huye karta hoon, to bhi main prabandhak ka kaam hi kar raha hoon jo mujhe prabhu ne saunpa hai.+
18 yah inam kya hai jo mujhe milega? yahi ki jab main khushkhabri sunaun to main bina keemat ke khushkhabri doon taaki main khushkhabri ke maamle mein apne adhikar* ka galat istemal na karoon.
19 haalanki main kisi insan ka daas nahin hoon fir bhi mainne khud ko sabka daas banaya hai taaki main zyada-se-zyada logon ko maseeh ki raah par laa sakoon.
20 main yahoodiyon ke liye yahoodi jaisa bana taaki yahoodiyon ko laa sakoon.+ jo kaanoon ke adheen hain unke liye main kaanoon ke adheen rehnevalon jaisa bana taaki jo kaanoon ke adheen hain unhein laa sakoon, haalanki main khud kaanoon ke adheen nahin.+
21 jinke paas kaanoon nahin hai, unke liye main unhin ke jaisa bana, iske baavjood ki main parmeshvar ke saamne bina kaanoon ka nahin hoon balki maseeh ke kaanoon ke adheen hoon+ taaki main unhein laa sakoon jinke paas kaanoon nahin hai.
22 main kamzoron ke liye kamzor bana taaki kamzoron ko laa sakoon.+ main sab kism ke logon ke liye sabkuch bana taaki main har mumkin tareeke se kuch logon ka uddhaar kara sakoon.
23 main sabkuch khushkhabri ki khaatir karta hoon taaki yah khabar main doosron ko suna sakoon.+
24 kya tum nahin jaante ki daud mein hissa lenevale sabhi daudte hain, magar inam ek hi ko milta hai? is tarah se daudo ki tum inam jeet sako.+
25 pratiyogita mein hissa lenevala* har baat mein sanyam baratta hai. beshak, woh ek aisa taaj paane ke liye yah sab karte hain jo naash ho sakta hai,+ magar hum us taaj ke liye karte hain jo kabhi naash nahin hoga.+
26 isliye main andhadhundh yahaan-vahaan nahin daudta,+ main is tarah mukke nahin chalata maano hava ko peet raha hoon.
27 balki main apne shareer ko maarta-kootta* hoon+ aur use ek daas banakar kaaboo mein rakhta hoon taaki doosron ko prachar karne ke baad main khud kisi vajah se ayogya na thahroon.
kai footnote
^ shaa., “adhikar.”
^ ya “kisi maseehi behen se shaadi karke.”
^ patras bhi kehlata tha.
^ shaa., “adhikar.”
^ ya “hak.”
^ ya “har khiladi.”
^ ya “saza deta; sakhti baratta.”