kurinthiyon ke naam pehali chitthi 1:1-31
1 main paulus, jo parmeshvar ki marzee se maseeh yeeshu ka preshit hone ke liye bulaya gaya hoon,+ hamare bhaai sosthines ke saath
2 yah chitthi parmeshvar ki us mandli ko likh raha hoon jo kurinth mein hai.+ tum maseeh yeeshu ke chele hone ke naate pavitra kiye gaye ho+ aur pavitra jan hone ke liye bulaye gaye ho. main un sabhi bhaaiyon ko bhi likh raha hoon jo har kahin hamare prabhu yeeshu maseeh ka naam lete hain,+ jo hamara aur unka bhi prabhu hai:
3 hamare pita yaani parmeshvar ki taraf se aur prabhu yeeshu maseeh ki taraf se tumhein maha-kripa aur shaanti mile.
4 parmeshvar ne maseeh yeeshu ke zariye tum par jo maha-kripa ki hai, uske liye main hamesha apne parmeshvar ka dhanyavad karta hoon.
5 usne tumhein vachan sunane ki poori kaabilyat aur poora gyaan dekar maseeh mein har tarah se maalamal kiya hai.+
6 maseeh ke baare mein gavahi+ tumhare beech achhi tarah jad pakad chuki hai
7 isliye tummein kisi bhi vardan ki kami nahin hai aur tum hamare prabhu yeeshu maseeh ke prakat hone ka besabrai se intazar kar rahe ho.+
8 parmeshvar tumhein aakhir tak mazboot bhi banaye rakhega taaki hamare prabhu yeeshu maseeh ke din tum nirdosh thahro.+
9 parmeshvar vishvasyogya hai,+ usne apne bete aur hamare prabhu yeeshu maseeh ke saath saajhedar hone ke liye tumhein bulaya hai.
10 ab hey bhaaiyo, main tumse hamare prabhu yeeshu maseeh ke naam se guzarish karta hoon ki tum sab ek hi baat kaho aur tumhare beech fut na ho,+ balki tum sabke vichar aur tumhare sochne ka tareeka ek jaisa ho taaki tumhare beech ekta ho.+
11 isliye ki mere bhaaiyo, khaloye ke ghar ke kuch logon ne mujhe bataya hai ki tumhare beech jhagde ho rahe hain.
12 mera matlab hai ki tummein se koi kehta hai, “main paulus ka chela hoon,” to koi kehta hai “main apullos ka chela hoon”+ aur koi “main kaifa* ka chela hoon” ya “main maseeh ka chela hoon.”
13 kya maseeh tumhare beech bat gaya hai? kya tumhari khaatir paulus ko kaath par latkakar maar daala gaya tha? ya kya tumhein paulus ke naam se baptisma diya gaya tha?
14 parmeshvar ka shukra hai ki mainne krispus+ aur gayus+ ke alava tummein se kisi aur ko baptisma nahin diya
15 taaki koi yah na kahe ki tumhein mere naam se baptisma mila.
16 haan, mainne stifanas ke gharane+ ko bhi baptisma diya. inko chhod main nahin jaanta ki mainne kisi aur ko baptisma diya ho.
17 isliye ki maseeh ne mujhe baptisma dene ke liye nahin, balki khushkhabri sunane ke liye bheja hai+ aur yah mujhe vidvanon ki bhasha* mein nahin sunani hai taaki maseeh ka yaatna ka kaath* bekar na thahre.
18 isliye ki yaatna ke kaath* ka sandesh un logon ke liye moorkhta hai jo vinash ki taraf jaa rahe hain,+ magar hum uddhaar paanevalon ke liye yah parmeshvar ki taakat hai.+
19 kyonki likha hai, “main buddhimanon ki buddhi khatm kar doonga aur gyaaniyon ka gyaan thukra doonga.”*+
20 kahaan raha is zamane* ka buddhiman? kahaan raha shaastri?* kahaan raha behas karnevala? kya parmeshvar ne saabit nahin kar diya ki is duniya ki buddhi moorkhta hai?
21 isliye ki parmeshvar ki buddhi is baat se dikhayi deti hai ki jab yah duniya apni buddhi se+ parmeshvar ko nahin jaan paayi,+ to parmeshvar ko bhaaya ki hum jis sandesh ka prachar karte hain aur jise log moorkhta samajhte hain,+ us par vishvas karnevalon ka woh uddhaar kare.
22 yahoodi chamatkaron ki maang karte hain+ aur yoonani buddhi ki talash mein rehte hain,
23 magar hum kaath par latkaye gaye maseeh ka prachar karte hain jo yahoodiyon ke liye thokar ki vajah hai aur gair-yahoodiyon ke liye moorkhta.+
24 lekin jo bulaye gaye hain, fir chahe woh yahoodi hon ya yoonani, unke liye maseeh, parmeshvar ki shakti aur parmeshvar ki buddhi hai.+
25 kyonki parmeshvar ki jo baatein insan ko moorkhta lagti hain woh insanon ki buddhi se badhkar hain aur parmeshvar ki jo baatein insan ko kamzor lagti hain woh insanon ki taakat se kahin zyada taakatvar hain.+
26 bhaaiyo, tum apne hi maamle mein dekh sakte ho ki parmeshvar ne jinhein bulaya hai, unmein zyadatar aise nahin jo insan ki nazar mein* buddhiman hain,+ taakatvar hain ya unche khaandan mein paida huye hain.+
27 balki parmeshvar ne duniya ke moorkhon ko chuna taaki woh buddhimanon ko sharminda kar sake aur usne duniya ke kamzoron ko chuna taaki taakatvaron ko sharminda kar sake.+
28 parmeshvar ne aise logon ko chuna hai jinhein duniya tuchh samajhti hai aur neechi nazar se dekhti hai aur jo hain hi nahin unhein chuna taaki jo hain unhein bekar saabit kare+
29 aur koi insan parmeshvar ke saamne shekhi na maar sake.
30 magar tum parmeshvar ki vajah se hi maseeh yeeshu ke saath ekta mein ho, jisne parmeshvar ki buddhi aur neki hum par zahir ki+ aur jo hamein pavitra thehrata hai+ aur firauti ke zariye chhutkara dilata hai+
31 taaki vaisa hi ho jaisa likha hai, “jo garv karta hai woh yahova* ke baare mein garv kare.”+
kai footnote
^ patras bhi kehlata tha.
^ ya “chhal ki baaton.”
^ ya “darkinar kar doonga.”
^ yaani kaanoon ka jaankar.
^ ya “insan ke staron ke mutabik.”